amar lamha
bārishoñ ke mausam meñ
ajnabī sī rāhoñ meñ
is tarah tumheñ milnā
aur phir bichhaḌ jaanā
yaad phir dilātā hai
ki abhī gulāboñ kī
motiye ke phūloñ kī
shoḳh titliyoñ jaisī rut abhī bhī baaqī hai
ruuh ke safar meñ ham
mil chuke haiñ pahle bhī
māh-o-sāl kī gardish paas le ke aa.ī thī
aur phir yahī gardish duur le ga.ī ham ko
zindagī ke circus meñ kaun kab mile ham se
kaun duur jaatā hai
bas yahī vo lamha thā
jo amar thā pahle bhī
aur ab bhī hai shāyad
barishon ke mausam mein
ajnabi si rahon mein
is tarah tumhein milna
aur phir bichhaD jaana
yaad phir dilata hai
ki abhi gulabon ki
motiye ke phulon ki
shoKH titliyon jaisi rut abhi bhi baqi hai
ruh ke safar mein hum
mil chuke hain pahle bhi
mah-o-sal ki gardish pas le ke aai thi
aur phir yahi gardish dur le gai hum ko
zindagi ke circus mein kaun kab mile hum se
kaun dur jata hai
bas yahi wo lamha tha
jo amar tha pahle bhi
aur ab bhi hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.