ambulance
jo mujh ko laa.ī thī sukūn-gāh meñ
vo ek thī
sapīd, sirf ek, us ke pahluoñ, jabīn aur pusht par
salīb ke nishān the
maiñ chuur chuur ik aziim ghaao thā
vo mujh ko dast-e-mehrbāñ meñ sauñp kar
chalī ga.ī to maiñ ġhunūdgī kī be-karāñ muhīb dhund meñ bhaTak gayā
har ek rah-guzar pe gāḌiyoñ basoñ kā kārvāñ umañD paḌā
ajiib inqalāb thā mirī nazar ke sāmne
vo ek pal meñ sab sapīd ho ga.iiñ
sapīd sab sapīd, un ke pahluoñ, jabīn aur pusht par
salīb ke nishān daf.atan ubhar ke aa ga.e
alam-nasīb un ke be-amāñ makīñ
mire hī ham-nafas vafā-shi.ār vo aziiz the
jo sādgī se koī mushtahar fareb khā ga.e
kisī muhīb jañg bhuuk qaht yā vabā kī zad meñ aa ga.e
jo mujh ko lai thi sukun-gah mein
wo ek thi
sapid, sirf ek, us ke pahluon, jabin aur pusht par
salib ke nishan the
main chur chur ek azim ghao tha
wo mujh ko dast-e-mehrban mein saunp kar
chali gai to main ghunudgi ki be-karan muhib dhund mein bhaTak gaya
har ek rah-guzar pe gaDiyon bason ka karwan umanD paDa
ajib inqalab tha meri nazar ke samne
wo ek pal mein sab sapid ho gain
sapid sab sapid, un ke pahluon, jabin aur pusht par
salib ke nishan dafatan ubhar ke aa gae
alam-nasib un ke be-aman makin
mere hi ham-nafas wafa-shiar wo aziz the
jo sadgi se koi mushtahar fareb kha gae
kisi muhib jang bhuk qaht ya waba ki zad mein aa gae
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 86)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.