amir-KHusraw
Interesting Fact
(بموقع خسرو صدی)
ek tahzīb-e-mushtarak kā amiiñ
fikr-o-fan kī latāfatoñ kā shu.ūr
jazb-e-dil kā mizāj-dāñ fankār
rūh-e-ehsās garmī-e-raftār
parda-e-sāz harf-e-mausīqī
tund rāgoñ kā nāchtā sho.ala
narm gītoñ kī ajnabī ḳhushbū
vaqt kī lahr-lahr kā mudrik
jāgte mausamoñ kā ā.īna
apne lamhāt-e-asr kī tafsīr
yaanī ranj o nashāt kī tasvīr
zindagī kā jamāl-e-sho.ala-sifat
bāda-e-āgahī se mast-o-alast
bazm-e-insāniyat kā ek charāġh
falsafī kī nigāh-e-bā-maqsad
ārzūoñ kā dil-nashīñ unvāñ
ek majmūa ilm-o-dānish kā
ek sūfī-mizāj ahl-e-suḳhan
daulat-e-naġhma ek mausīqār
yaanī 'ḳhusro' vo sher kā me.aar
jis kī fikroñ se ruuh ho bedār
vaqt kī sarhadeñ phalāñg ke aaj
ham meñ phir aa gayā hai vo fankār
ek tahzib-e-mushtarak ka amin
fikr-o-fan ki latafaton ka shuur
jazb-e-dil ka mizaj-dan fankar
ruh-e-ehsas garmi-e-raftar
parda-e-saz harf-e-mausiqi
tund ragon ka nachta shoala
narm giton ki ajnabi KHushbu
waqt ki lahr-lahr ka mudrik
jagte mausamon ka aaina
apne lamhat-e-asr ki tafsir
yani ranj o nashat ki taswir
zindagi ka jamal-e-shoala-sifat
baada-e-agahi se mast-o-alast
bazm-e-insaniyat ka ek charagh
falsafi ki nigah-e-ba-maqsad
aarzuon ka dil-nashin unwan
ek majmua ilm-o-danish ka
ek sufi-mizaj ahl-e-suKHan
daulat-e-naghma ek mausiqar
yani 'KHusro' wo sher ka mear
jis ki fikron se ruh ho bedar
waqt ki sarhaden phalang ke aaj
hum mein phir aa gaya hai wo fankar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.