amiron ki duniya
Interesting Fact
1935
kisī kī tabī.at meñ pindār-e-mastī
kisī ko ġhurūr-e-javānī kī mastī
koī mast mai-ḳhāna-e-ḳhud-parastī
amīroñ kī duniyā takabbur kī pastī
fareboñ ke saa.e meñ Derā hai un kā
gunāhoñ ke ghar meñ baserā hai un kā
koī apne zor-e-hukūmat pe nāzāñ
koī māl-o-daulat kī kasrat pe nāzāñ
koī apne aivāñ kī rif.at pe nāzāñ
koī hashmat-o-jāh-o-sarvat pe nāzāñ
vo nasha chaḌhā hai ki bhūlā ḳhudā bhī
ye sunte nahīñ bekasoñ kī duā bhī
jo nāyāb shai ho use DhūñD laa.eñ
jo marġhūb-e-ḳhātir ho vo chiiz khā.eñ
jo garmī ko chāheñ to sardī banā.eñ
uḌā.īñ pahāḌoñ kī ThanDī havā.eñ
zamāne meñ chaltī agar hai to un kī
yahāñ daal galtī agar hai to un kī
hai dushvār un ko bulandī na pastī
amīroñ kī duniyā meñ mahñgī bhī sastī
na dekhī unhoñ ne kabhī faaqa mastī
ye haiñ be-niyāz-e-ġham-e-tañg-dastī
ye muflis kī mushkil ko kyā jānte haiñ
ye nādār ko ḳhaak pahchānte haiñ
guzartī hai shab jo havas-rāniyoñ meñ
to kaTtā hai din fitna-sāmāniyoñ meñ
ye haiñ mast apnī tan-āsāniyoñ meñ
zamāna hai in se pareshāniyoñ meñ
ġharīboñ ke haq meñ balā banñe vaale
yatīmoñ ke haq meñ qazā banñe vaale
zamāna ho zach jis se vo chaal kar deñ
jo mumkin ho duniyā kā pāmāl kar deñ
agar ho sake sab ko kañgāl kar deñ
jo ḳhush-hāl hoñ un ko bad-hāl kar deñ
ġharaz un ke dil haiñ mohabbat se ḳhālī
uḳhuvvat se ḳhālī ināyat se ḳhālī
jo bole koī to zabān kaaT Dāleñ
jo dekhe koī us kī āñkheñ nikāleñ
nahīñ un se mumkin kisī ko sambhāleñ
koī mar rahā ho to us ko bachā leñ
magar shukr hai 'arsh' fazl-e-ḳhudā kā
vo ḳhallāq hāfiz hai har be-navā kā
kisi ki tabiat mein pindar-e-masti
kisi ko ghurur-e-jawani ki masti
koi mast mai-KHana-e-KHud-parasti
amiron ki duniya takabbur ki pasti
farebon ke sae mein Dera hai un ka
gunahon ke ghar mein basera hai un ka
koi apne zor-e-hukumat pe nazan
koi mal-o-daulat ki kasrat pe nazan
koi apne aiwan ki rifat pe nazan
koi hashmat-o-jah-o-sarwat pe nazan
wo nasha chaDha hai ki bhula KHuda bhi
ye sunte nahin bekason ki dua bhi
jo nayab shai ho use DhunD laen
jo marghub-e-KHatir ho wo chiz khaen
jo garmi ko chahen to sardi banaen
uDain pahaDon ki ThanDi hawaen
zamane mein chalti agar hai to un ki
yahan dal galti agar hai to un ki
hai dushwar un ko bulandi na pasti
amiron ki duniya mein mahngi bhi sasti
na dekhi unhon ne kabhi faqa masti
ye hain be-niyaz-e-gham-e-tang-dasti
ye muflis ki mushkil ko kya jaante hain
ye nadar ko KHak pahchante hain
guzarti hai shab jo hawas-raniyon mein
to kaTta hai din fitna-samaniyon mein
ye hain mast apni tan-asaniyon mein
zamana hai in se pareshaniyon mein
gharibon ke haq mein bala banne wale
yatimon ke haq mein qaza banne wale
zamana ho zach jis se wo chaal kar den
jo mumkin ho duniya ka pamal kar den
agar ho sake sab ko kangal kar den
jo KHush-haal hon un ko bad-haal kar den
gharaz un ke dil hain mohabbat se KHali
uKHuwwat se KHali inayat se KHali
jo bole koi to zaban kaT Dalen
jo dekhe koi us ki aankhen nikalen
nahin un se mumkin kisi ko sambhaalen
koi mar raha ho to us ko bacha len
magar shukr hai 'arsh' fazl-e-KHuda ka
wo KHallaq hafiz hai har be-nawa ka
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 220)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.