Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ammi abbu chhoTe the

Munaiza Auurulain Siddiqi

ammi abbu chhoTe the

Munaiza Auurulain Siddiqi

MORE BYMunaiza Auurulain Siddiqi

    jab ammī abbū chhoTe the

    kyā ham jaise hote the

    din raat sharārat karte the

    apne abbū se Darte the

    jab zid karnā hotī thī unheñ

    apnī ammī se karte the

    kyā adab baḌoñ karte the

    jo kahte the vo karte the

    paḌhne mushkil se jaate the

    kyā rote-dhote aate the

    muñh haath vo dho kar khāte the

    bin dho.e so jaate the

    vo shaam ko der se uThte the

    kyā kaam schōl karte the

    kuchh paḌhte the kuchh laḌte the

    aañsū se muñh vo dhote the

    kyā vo bhī apnī daadī se

    har raat kahānī sunte the

    kyā vo bhī apne daadā se

    vo bāteñ purānī sunte the

    vo pyāre nabiyoñ ke qisse

    ma.alūm nahīñ bhī hote the

    vo saarī duā.eñ un ko bhī

    kyā yaad zabānī hotī thiiñ

    kyā apnī namāzoñ pābandī

    vo ham jaisī karte the

    jab ammī abbū chhoTe the

    kyā ham jaise hote the

    jab ammi abbu chhoTe the

    kya hum jaise hi hote the

    din raat shararat karte the

    apne abbu se Darte the

    jab zid karna hoti thi unhen

    apni ammi se karte the

    kya adab baDon ka karte the

    jo kahte the wo karte the

    paDhne mushkil se jate the

    kya rote-dhote aate the

    munh hath wo dho kar khate the

    ya bin dhoe so jate the

    wo sham ko der se uThte the

    kya kaam school ka karte the

    kuchh paDhte the kuchh laDte the

    aansu se munh wo dhote the

    kya wo bhi apni dadi se

    har raat kahani sunte the

    kya wo bhi apne dada se

    wo baaten purani sunte the

    wo pyare nabiyon ke qisse

    malum nahin bhi hote the

    wo sari duaen un ko bhi

    kya yaad zabani hoti thin

    kya apni namazon ki pabandi

    wo hum jaisi hi karte the

    jab ammi abbu chhoTe the

    kya hum jaise hi hote the

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now