aman kā Damrū Dam Dam Dam
chain kī Dholak Dham Dham Dham
aao bajā.eñ tum aur ham
jhūmeñ nācheñ chham chham chham
jab tak apne dam meñ dam
des ye chamke cham cham cham
golī golā aur na bam
aañsū aah na dard-o-alam
dahshat ḳhauf na koī ġham
ḳhushiyāñ barseñ jham jham jham
jhuum ke gaa.eñ ram pam pam
des ye chamke cham cham cham
gautam kī ta.abīr haiñ ham
ḳhvāja kī tafsīr haiñ ham
nānak kī tasvīr haiñ ham
gāñdhī jī kī jāgīr haiñ ham
ham se amn-o-amāñ kā dam
des ye chamke cham cham cham
sukh dukh sab meñ sāthī ham
bāñTeñ ḳhushiyāñ bāñTeñ ġham
kabhī na koī aañkh ho nam
ham ik ik ke haiñ ham-dam
ham se ḳhushiyoñ kī jham jham
des ye chamke cham cham cham
aisā koī kaam kareñ
jag meñ is ko aam kareñ
mehnat sub.h-o-shām kareñ
duniyā bhar meñ naam kareñ
apnā ūñchā ho parcham
des ye chamke cham cham cham
maulā terā rahm-o-karam
is dhartī par ho har dam
rahe hamesha miTTī nam
phuul khilā.e har mausam
sāñseñ mahkeñ chahke dam
des ye chamke cham cham cham
har chehre par phuul khile
har māthe par chāñd uge
aañkh meñ ik ik diip jale
ik ik lab par giit saje
Dhal jaa.e har shām-e-ġham
des ye chamke cham cham cham
nafrat kī dīvār gire
raste se bandūq haTe
kiina ranjish bair miTe
dahshat kā har shor thame
ruk jaa.e ye dham dham dham
des ye chamke cham cham cham
aman ka Damru Dam Dam Dam
chain ki Dholak Dham Dham Dham
aao bajaen tum aur hum
jhumen nachen chham chham chham
jab tak apne dam mein dam
des ye chamke cham cham cham
goli gola aur na bam
aansu aah na dard-o-alam
dahshat KHauf na koi gham
KHushiyan barsen jham jham jham
jhum ke gaen ram pam pam
des ye chamke cham cham cham
gautam ki tabir hain hum
KHwaja ki tafsir hain hum
nanak ki taswir hain hum
gandhi ji ki jagir hain hum
hum se amn-o-aman ka dam
des ye chamke cham cham cham
sukh dukh sab mein sathi hum
banTen KHushiyan banTen gham
kabhi na koi aankh ho nam
hum ek ek ke hain ham-dam
hum se KHushiyon ki jham jham
des ye chamke cham cham cham
aisa koi kaam karen
jag mein is ko aam karen
mehnat subh-o-sham karen
duniya bhar mein nam karen
apna uncha ho parcham
des ye chamke cham cham cham
maula tera rahm-o-karam
is dharti par ho har dam
rahe hamesha miTTi nam
phul khilae har mausam
sansen mahken chahke dam
des ye chamke cham cham cham
har chehre par phul khile
har mathe par chand uge
aankh mein ek ek dip jale
ek ek lab par git saje
Dhal jae har sham-e-gham
des ye chamke cham cham cham
nafrat ki diwar gire
raste se banduq haTe
kina ranjish bair miTe
dahshat ka har shor thame
ruk jae ye dham dham dham
des ye chamke cham cham cham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.