amn ka paighambar
kaash aise meñ kahīñ duniyā ko aa jaa.e nazar
shā.ir-e-husn-o-mohabbat amn kā paiġhāmbar
shāñtī kā ik nayā sandesh de sansār ko
apne jaadū se dabā de ḳhuun ke mañjdhār ko
bāñsurī kī lai se phir nabzoñ meñ dauḌā de lahū
husn ko de phir tajallī ishq ko phir aarzū
uḌ na jaa.e baaġh ke masle hue phūloñ kā rang
Daal de siine meñ un ke apne naġhmoñ se umang
ho na jaa.e raakh jal kar ye dayār-e-ḳhār-o-ḳhas
Daal de bijlī se le kar us ke siine meñ nafas
kal kā ye jaagā huā phir ho na jaa.e mahv-e-ḳhvāb
le ke tūfānoñ se us ko baḳhsh de ik iztirāb
chaltī phirtī mayyatoñ ko zindagānī baḳhsh de
zindagānī kyā hayāt-e-jāvedānī baḳhsh de
dahr hai bechain us ke giit sunñe ke liye
zulmatoñ meñ nuur kī kirnoñ ko chunñe ke liye
kash aise mein kahin duniya ko aa jae nazar
shair-e-husn-o-mohabbat amn ka paighambar
shanti ka ek naya sandesh de sansar ko
apne jadu se daba de KHun ke manjdhaar ko
bansuri ki lai se phir nabzon mein dauDa de lahu
husn ko de phir tajalli ishq ko phir aarzu
uD na jae bagh ke masle hue phulon ka rang
Dal de sine mein un ke apne naghmon se umang
ho na jae rakh jal kar ye dayar-e-KHar-o-KHas
Dal de bijli se le kar us ke sine mein nafas
kal ka ye jaga hua phir ho na jae mahw-e-KHwab
le ke tufanon se us ko baKHsh de ek iztirab
chalti phirti mayyaton ko zindagani baKHsh de
zindagani kya hayat-e-jawedani baKHsh de
dahr hai bechain us ke git sunne ke liye
zulmaton mein nur ki kirnon ko chunne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.