amn ka suraj
har roz maiñ ye kartā huuñ duā
ai mere ḳhudā ai mere ḳhudā
nafrat ke añdhere miT jaa.eñ
bas prem ujāle muskā.eñ
chhaT jaa.eñ ġhamoñ ke sab bādal
lahrā.e jo ḳhushiyoñ kā āñchal
kuchh fikr na ho kuchh jhuuT na ho
duniyā meñ kahīñ par luuT na ho
har shahr hamārā gulshan ho
hañstā huā har ik āñgan ho
har ghar meñ bachche dhuum kareñ
tasvīr-e-ḳhushī meñ rañg bhareñ
har aañkh meñ ho ulfat kī chamak
har jism meñ ho ulfat kī mahak
duniyā meñ kahīñ par jañg na ho
insāñ pe zamīñ ye tañg na ho
bas amn kā sūraj muskā.e
har samt ujālā phailā.e
har roz main ye karta hun dua
ai mere KHuda ai mere KHuda
nafrat ke andhere miT jaen
bas prem ujale muskaen
chhaT jaen ghamon ke sab baadal
lahrae jo KHushiyon ka aanchal
kuchh fikr na ho kuchh jhuT na ho
duniya mein kahin par luT na ho
har shahr hamara gulshan ho
hansta hua har ek aangan ho
har ghar mein bachche dhum karen
taswir-e-KHushi mein rang bharen
har aankh mein ho ulfat ki chamak
har jism mein ho ulfat ki mahak
duniya mein kahin par jang na ho
insan pe zamin ye tang na ho
bas amn ka suraj muskae
har samt ujala phailae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.