amn ka tehwar
Interesting Fact
(February 1970)
kal jo sapne the adhūre aaj puure hoñge vo
aaj ham jamhūriyat kā giit gā.eñge zarūr
amn kī sham.eñ jalīñ har sū ujālā ho gayā
miT ga.e haiñ zulm kī tārīkiyoñ ke sab ġhurūr
kah do saarī zulmatoñ se talḳhiyoñ se hoñ vo duur
kyoñ ki arzāñ ho ga.ī hai dahr meñ sahbā-e-nūr
aaj phir tārīkiyoñ ke miT hī jā.eñge nishāñ
diip ḳhushiyoñ ke jaleñge bastī-e-ġham-ḳhvār meñ
ḳhud-baḳhud manzil khiñchī aa.egī qadmoñ ke tale
azm-e-nau kī ḳhū bhī shāmil hogī jab atvār meñ
muttahid hai kitnā bhārat dahr ko batlā.eñge
azmat-e-jamhūriyat duniyā ko ham dikhlā.eñge
ek hī dīvār ke saa.e meñ haiñ dair-o-haram
haañ vahī bhārat hai ye jo amn kī tasvīr hai
gautam-o-gāñdhī javāhar-lāl aur āzād ne
dekhā thā jo ḳhvāb pahroñ us kī ye ta.abīr hai
kah do duniyā se hasīñ kirdār bhī ab siikh le
aa.e ham se amn ke atvār bhī ab siikh le
aaj vo din hai ki jis din ke liye the ḳhuuñ bahe
chandr-shekhar aur bhagat-singh aur phir gāñdhī ke ḳhuun
aur haañ jauhar alī muḳhtār-o-sayyad the vahī
thā sadā jin ke diloñ se sar kaTāne kā junūn
desh kī ḳhātir huā jin kā janam aur maut bhī
maut jin kī maut pe rotī rahī rotī rahī
kal jo sapne the adhure aaj pure honge wo
aaj hum jamhuriyat ka git gaenge zarur
amn ki shamen jalin har su ujala ho gaya
miT gae hain zulm ki tarikiyon ke sab ghurur
kah do sari zulmaton se talKHiyon se hon wo dur
kyon ki arzan ho gai hai dahr mein sahba-e-nur
aaj phir tarikiyon ke miT hi jaenge nishan
dip KHushiyon ke jalenge basti-e-gham-KHwar mein
KHud-baKHud manzil khinchi aaegi qadmon ke tale
azm-e-nau ki KHu bhi shamil hogi jab atwar mein
muttahid hai kitna bhaarat dahr ko batlaenge
azmat-e-jamhuriyat duniya ko hum dikhlaenge
ek hi diwar ke sae mein hain dair-o-haram
han wahi bhaarat hai ye jo amn ki taswir hai
gautam-o-gandhi jawahar-lal aur aazad ne
dekha tha jo KHwab pahron us ki ye tabir hai
kah do duniya se hasin kirdar bhi ab sikh le
aae hum se amn ke atwar bhi ab sikh le
aaj wo din hai ki jis din ke liye the KHun bahe
chandr-shekhar aur bhagat-singh aur phir gandhi ke KHun
aur han jauhar ali muKHtar-o-sayyad the wahi
tha sada jin ke dilon se sar kaTane ka junun
desh ki KHatir hua jin ka janam aur maut bhi
maut jin ki maut pe roti rahi roti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.