amn ki manzil ke rahi
amn kī manzil ke raahī giit gaatā chal
zindagī ke pyaar kī mash.al jalātā chal
azmateñ tārīḳh kī haiñ rahnumā terī
barkateñ tahzīb kī haiñ ham-navā terī
ham-qadam haiñ ahl-e-dil naġhme sunātā chal
amn kī manzil ke raahī giit gaatā chal
aadmī ke bhes meñ shaitān ā.eñge
rāste meñ saikḌoñ tūfān ā.eñge
tū magar in mushkiloñ par muskurātā chal
amn kī manzil ke raahī giit gaatā chal
kyoñ ḳhizāñ aa.e bhalā gulzār-e-hastī meñ
kyoñ chaleñ ġham kī havā.eñ dil kī bastī meñ
tū bahār-e-shauq ke ġhunche khilātā chal
amn kī manzil ke raahī giit gaatā chal
amn ki manzil ke rahi git gata chal
zindagi ke pyar ki mashal jalata chal
azmaten tariKH ki hain rahnuma teri
barkaten tahzib ki hain ham-nawa teri
ham-qadam hain ahl-e-dil naghme sunata chal
amn ki manzil ke rahi git gata chal
aadmi ke bhes mein shaitan aaenge
raste mein saikDon tufan aaenge
tu magar in mushkilon par muskuraata chal
amn ki manzil ke rahi git gata chal
kyon KHizan aae bhala gulzar-e-hasti mein
kyon chalen gham ki hawaen dil ki basti mein
tu bahaar-e-shauq ke ghunche khilata chal
amn ki manzil ke rahi git gata chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.