amn
use ham DhūñDne to nikle haiñ
magar pahchāneñge kaise
jang-e-badr-o-uhad se
vāqi.a-e-karbalā tak
hiroshima
nagasaki
filistīn-o-iraq tak
safed kabūtaroñ ke jhunD meñ
zaitūñ kī shāḳhoñ meñ
alam-e-abyaz meñ
kahīñ to hai vo
zā.iqa-dār khānoñ meñ
ālīshān aivānoñ meñ
phūloñ ke dastoñ meñ
kāġhaz ke bastoñ meñ
qalam kī raushnā.ī meñ
lafzoñ kī tanhā.ī meñ
kahīñ bhaTak rahā hai vo
nasloñ ke jhagḌe
zabānoñ ke qaziye
rangoñ ke khel
sarhad ke fe.al
us ke aaḌe aa rahe haiñ
ab se duniyā kī har hasīn shai ko
jis kā ham naam nahīñ jānte
rokeñge aur pūchheñge
tumhārā naam amn to nahīñ
use hum DhunDne to nikle hain
magar pahchanenge kaise
jang-e-badr-o-uhad se
waqia-e-karbala tak
hiroshima
nagasaki
filistin-o-iraq tak
safed kabutaron ke jhunD mein
zaitun ki shaKHon mein
alam-e-abyaz mein
kahin to hai wo
zaiqa-dar khanon mein
aalishan aiwanon mein
phulon ke daston mein
kaghaz ke baston mein
qalam ki raushnai mein
lafzon ki tanhai mein
kahin bhaTak raha hai wo
naslon ke jhagDe
zabanon ke qaziye
rangon ke khel
sarhad ke feal
us ke aaDe aa rahe hain
ab se duniya ki har hasin shai ko
jis ka hum nam nahin jaante
rokenge aur puchhenge
tumhaara nam amn to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.