amrit ki dhaar
amrit kī dhaar le kar gangotarī se utrī
mere vatan meñ aa.ī motī hai sāf-suthrī
phailā huā hai kosoñ chamkīlā paaT terā
lahroñ se kheltā hai har ek ghaaT terā
kyā kyā chamak rahe haiñ zarre tire kināre
dāman meñ tere kis ne Tāñke haiñ ye sitāre
har sub.h tere dam se kāshī sajā huā hai
hai bhīḌ-bhāḌ aisī mela lagā huā hai
rahte haiñ roz jamghaT har ghaaT par savere
ashnān karne vaale aate haiñ muñh añdhere
tujh meñ nahā nahā kar kyā lutf pā rahe haiñ
ġhote lagā rahe haiñ maujeñ uḌā rahe haiñ
khub khub ga.ī hai sab kī nazroñ meñ shaan terī
ghar kar ga.ī hai dil meñ ye ān-bān terī
dil ko lubhā rahī haiñ uTh uTh ke terī lahreñ
khetoñ ko sīñchtī haiñ bal khā ke terī nahreñ
murjhā.ī khetiyoñ ko dānoñ se bhar diyā hai
in motiyoñ se ham ko ḳhush-hāl kar diyā hai
sab se bhalā.ī karnā adnā hai kaam terā
ham jānte haiñ tujh ko gangā hai naam terā
amrit ki dhaar le kar gangotari se utri
mere watan mein aai moti hai saf-suthri
phaila hua hai koson chamkila paT tera
lahron se khelta hai har ek ghaT tera
kya kya chamak rahe hain zarre tere kinare
daman mein tere kis ne Tanke hain ye sitare
har subh tere dam se kashi saja hua hai
hai bhiD-bhaD aisi mela laga hua hai
rahte hain roz jamghaT har ghaT par sawere
ashnan karne wale aate hain munh andhere
tujh mein naha naha kar kya lutf pa rahe hain
ghote laga rahe hain maujen uDa rahe hain
khub khub gai hai sab ki nazron mein shan teri
ghar kar gai hai dil mein ye aan-ban teri
dil ko lubha rahi hain uTh uTh ke teri lahren
kheton ko sinchti hain bal kha ke teri nahren
murjhai khetiyon ko danon se bhar diya hai
in motiyon se hum ko KHush-haal kar diya hai
sab se bhalai karna adna hai kaam tera
hum jaante hain tujh ko ganga hai nam tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.