an-chhui katha
maiñ koī ḳhvāb likhūñ kahānī meñ biitī kisī raat kā
kahkashāoñ kī nagrī se guzre hue
raat oḌhe hue ik hasīn saath kā
is gagan kī kathā bhī likhūñ
jis pe nainoñ ke jhilmil diye jagmagā uThe the
jis pe bādal hamārī tarah khilkhilā uThe the
jis pe kohre kī chādar tale chāñd chup-chāp thā
aur kahīñ duur murlī pe bajtā koī saaz thā
vo jo ḳhvāhish sī bahtī huī kāsnī nahr thī
vo jo āñkhoñ se kosoñ pare an-chhūī sehr thī
haañ vahī haañ vahī haañ vahī qahr thī
mujh ko bāñhoñ meñ apne chhupā.e hue
barf kī silvaToñ se sarakte hue
dhuñd oḌhe hue
dūdhiyā raushnī se pare
chāñd kī oT meñ
tere pahlū meñ simTī huī
raat ḳhāmosh thī
maiñ bhī miirā ke jaisī kisī kirshn kī yoginī thī magar
maiñ bhī nirdosh thī
main koi KHwab likhun kahani mein biti kisi raat ka
kahkashaon ki nagri se guzre hue
raat oDhe hue ek hasin sath ka
is gagan ki katha bhi likhun
jis pe nainon ke jhilmil diye jagmaga uThe the
jis pe baadal hamari tarah khilkhila uThe the
jis pe kohre ki chadar tale chand chup-chap tha
aur kahin dur murli pe bajta koi saz tha
wo jo KHwahish si bahti hui kasni nahr thi
wo jo aankhon se koson pare an-chhui sehr thi
han wahi han wahi han wahi qahr thi
mujh ko banhon mein apne chhupae hue
barf ki silwaTon se sarakte hue
dhund oDhe hue
dudhiya raushni se pare
chand ki oT mein
tere pahlu mein simTi hui
raat KHamosh thi
main bhi mera ke jaisi kisi kirshn ki yogini thi magar
main bhi nirdosh thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.