Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

an-chhui katha

Injeel Saheefa

an-chhui katha

Injeel Saheefa

MORE BYInjeel Saheefa

    maiñ koī ḳhvāb likhūñ kahānī meñ biitī kisī raat

    kahkashāoñ nagrī se guzre hue

    raat oḌhe hue ik hasīñ saath

    is gagan kathā maiñ likhūñ

    jis pe nainoñ ke jhilmil diye jagmagā uTThe the

    jis pe bādal hamārī tarah khilkhilā uTThe the

    jis pe kohre chādar tale chāñd chup-chāp thā

    aur kahīñ duur murlī pe bajtā koī saaz thā

    vo jo ḳhvāhish bahtī huī kāsnī nahr thī

    vo jo āñkhoñ se kosoñ pare an-chhūī sahar thī

    haañ vahī haañ vahī haañ vahī qahr thī

    mujh ko bāñhoñ meñ apnī chhupā.e hue

    barf ke silvaToñ se sarakte hue

    dhund oḌhe hue

    dūdhiyā raushnī se pare

    chāñd oT meñ

    tere pahlū meñ simTī huī

    raat ḳhāmosh thī

    maiñ bhī miirā ke jaisī kisī kirshn yoginī thī magar

    maiñ bhī nirdosh thī

    main koi KHwab likhun kahani mein biti kisi raat ka

    kahkashaon ki nagri se guzre hue

    raat oDhe hue ek hasin sath ka

    is gagan ki katha main likhun

    jis pe nainon ke jhilmil diye jagmaga uTThe the

    jis pe baadal hamari tarah khilkhila uTThe the

    jis pe kohre ki chadar tale chand chup-chap tha

    aur kahin dur murli pe bajta koi saz tha

    wo jo KHwahish si bahti hui kasni nahr thi

    wo jo aankhon se koson pare an-chhui sahar thi

    han wahi han wahi han wahi qahr thi

    mujh ko banhon mein apni chhupae hue

    barf ke silwaTon se sarakte hue

    dhund oDhe hue

    dudhiya raushni se pare

    chand ki oT mein

    tere pahlu mein simTi hui

    raat KHamosh thi

    main bhi mera ke jaisi kisi kirshn ki yogini thi magar

    main bhi nirdosh thi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now