an-dekhi zamin par
suno
ġhaur se suno
ek sogvār sī dastak tumhāre dar pe kab se ho rahī hai
jānte ho
ye sūiyoñ kī Tak Tak tumheñ dhīre dhīre be-bas kar rahī hai
guzarne vaalā koī pal bhī tumhārā nahīñ
mahsūs karo un hāthoñ kī jumbish ko
jo tumhārī giraft se āzād ho rahe haiñ
kaise rok sakoge us ghaḌī ko
jo maazī ko kuchal kar tumhāre mustaqbil par hañs rahī ho
bahut sī ummīdeñ aur ḳhvāb tumhārī āñkhoñ meñ jāñkanī ban ke Thahre ga.e haiñ
āñkheñ jin meñ ab koī manzar nahīñ
vahshat zada vīrāniyāñ tumhāre bistar ke gird lipaT ga.ī haiñ
is ḳhālī aur udaas fazā meñ
kabhī raat kī raanī kī ḳhushbū se mahrūm raat aatī hai
aur kabhī koī sub.h aisī bhī hotī hai
jab sūraj-mukhī tak sūraj kī koī kiran nahīñ pahuñchtī
tab sirf
zavāl kā phuul khiltā hai
suno
ghaur se suno
ek sogwar si dastak tumhaare dar pe kab se ho rahi hai
jaante ho
ye suiyon ki Tak Tak tumhein dhire dhire be-bas kar rahi hai
guzarne wala koi pal bhi tumhaara nahin
mahsus karo un hathon ki jumbish ko
jo tumhaari giraft se aazad ho rahe hain
kaise rok sakoge us ghaDi ko
jo mazi ko kuchal kar tumhaare mustaqbil par hans rahi ho
bahut si ummiden aur KHwab tumhaari aankhon mein jaankani ban ke Thahre gae hain
aankhen jin mein ab koi manzar nahin
wahshat zada viraniyan tumhaare bistar ke gird lipaT gai hain
is KHali aur udas faza mein
kabhi raat ki rani ki KHushbu se mahrum raat aati hai
aur kabhi koi subh aisi bhi hoti hai
jab suraj-mukhi tak suraj ki koi kiran nahin pahunchti
tab sirf
zawal ka phul khilta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.