an-kahi baaten
maiñ us kī an-kahī bāteñ samajhtā huuñ
samajhtā huuñ vo sab bāteñ
jinheñ alfāz kā jaama pahan kar
nutq se bāhar nikalne kā koī rasta nahīñ miltā
samajhtā huuñ vo sab dukh bhī
jo dil ke har nihāñ-ḳhāne kī tārīkī meñ
chup sādhe khaḌe haiñ
magar jab bhī vo tanhā.ī ke ik namnāk lamhe meñ
udāsī kī hazīñ chādar lapeTe
ek gahrī soch meñ Duubī huī
chup-chāp baiThī ho
to ruḳhsāroñ kī būḌhī jhurriyāñ
māthe kī saarī sāl-ḳhūrda silvaTeñ
mujh se sarīhan baat kartī haiñ
vo bāteñ dukh-bhare qisse
jo duniyā kī sabhī maa.eñ vatan se duur baiThe apne bachchoñ se chhupā kar
dil meñ rakhtī haiñ
chhupā.e laakh vo lekin
takallum se bharī us kī ḳhamoshī meñ nihāñ
vo an-kahī bāteñ
utartī haiñ mire siine meñ chupke se
Dhalaktī haiñ mirī āñkhoñ se ashkoñ kī ravānī meñ
maiñ bad-qismat huuñ bebas huuñ
faqat dāman bhigo saktā huuñ
aur pardes meñ baiThā huā
kuchh kar nahīñ saktā
main us ki an-kahi baaten samajhta hun
samajhta hun wo sab baaten
jinhen alfaz ka jama pahan kar
nutq se bahar nikalne ka koi rasta nahin milta
samajhta hun wo sab dukh bhi
jo dil ke har nihan-KHane ki tariki mein
chup sadhe khaDe hain
magar jab bhi wo tanhai ke ek namnak lamhe mein
udasi ki hazin chadar lapeTe
ek gahri soch mein Dubi hui
chup-chap baiThi ho
to ruKHsaron ki buDhi jhurriyan
mathe ki sari sal-KHurda silwaTen
mujh se sarihan baat karti hain
wo baaten dukh-bhare qisse
jo duniya ki sabhi maen watan se dur baiThe apne bachchon se chhupa kar
dil mein rakhti hain
chhupae lakh wo lekin
takallum se bhari us ki KHamoshi mein nihan
wo an-kahi baaten
utarti hain mere sine mein chupke se
Dhalakti hain meri aankhon se ashkon ki rawani mein
main bad-qismat hun bebas hun
faqat daman bhigo sakta hun
aur pardes mein baiTha hua
kuchh kar nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.