ana aur mohabbat
ye maiñ ki mujh se chhin gayā hai sar-basar
vo kaun hai ki jis kī dastaras meñ aa ke maiñ mirā nahīñ rahā
mujhe to maiñ tamām kā.enāt se aziiz thā
mirī anā kī saltanat vasī.a thī ariiz thī aur us kā narcissus thā maiñ
vo saltanat jahāñ pe sirf maiñ thā merā aks thā
aur is ke mā-sivā nafī kā raqs thā
maiñ apnī zaat par farefta rahā
maiñ apne aap hī kā shefta rahā
na jaane kitne mehr-o-mah kī tābisheñ mirī tajalliyoñ kī zad pe aa ke ḳhaak ho ga.iiñ
mirī nazar ko koī bhī mire sivā jachā nahīñ
magar vo ek shaam ajab tilism-rang-shām thī
fusūñ-tarāz sāhira sarāpā rashk-e-jām thī
vo sāhira ki lashkar-e-jamāl-e-bā-kamāl us ke saath thā
vo sāhira ki qatl-e-ām ke tamām aslahoñ se lais thī
balā kī jañg chhiḌ ga.ī
mirī anā thī ik taraf aur us kā husn ik taraf
vo yak-ba-yak shadīd yūrisheñ huiiñ
mire sabhī havās us ke yarġhamāl ho ga.e
tamām ḳhud-pasandiyoñ kā taḳht-o-tāj luT gayā
mirī anā kī saltanat tamām ujaḌ ke rah ga.ī
ye main ki mujh se chhin gaya hai sar-basar
wo kaun hai ki jis ki dastaras mein aa ke main mera nahin raha
mujhe to main tamam kaenat se aziz tha
meri ana ki saltanat wasia thi ariz thi aur us ka narcissus tha main
wo saltanat jahan pe sirf main tha mera aks tha
aur is ke ma-siwa nafi ka raqs tha
main apni zat par farefta raha
main apne aap hi ka shefta raha
na jaane kitne mehr-o-mah ki tabishen meri tajalliyon ki zad pe aa ke KHak ho gain
meri nazar ko koi bhi mere siwa jacha nahin
magar wo ek sham ajab tilism-rang-sham thi
fusun-taraaz sahira sarapa rashk-e-jam thi
wo sahira ki lashkar-e-jamal-e-ba-kamal us ke sath tha
wo sahira ki qatl-e-am ke tamam aslahon se lais thi
bala ki jang chhiD gai
meri ana thi ek taraf aur us ka husn ek taraf
wo yak-ba-yak shadid yurishen huin
mere sabhi hawas us ke yarghamal ho gae
tamam KHud-pasandiyon ka taKHt-o-taj luT gaya
meri ana ki saltanat tamam ujaD ke rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.