ana
ik nigār-e-tanhā.ī
anjuman se nālāñ bhī anjuman-talab bhī hai
ek vahm-e-yaktā.ī
zindagī kā sāmāñ bhī maut kā sabab bhī hai
ik junūn-e-dārā.ī
ḳhud raqīb hai apnā ḳhud harīf-e-yazdāñ hai
ḳhvāb hai to īqāñ hai vahm hai to īmāñ hai
ik hisār-e-ā.īna
sañg-zan kī zad meñ hai
ek be-karāñ qulzum
āb-e-jū kī had meñ hai
ik fanā kā zindānī
hasrat-e-abad meñ hai
ek nigar-e-tanhai
anjuman se nalan bhi anjuman-talab bhi hai
ek wahm-e-yaktai
zindagi ka saman bhi maut ka sabab bhi hai
ek junun-e-darai
KHud raqib hai apna KHud harif-e-yazdan hai
KHwab hai to iqan hai wahm hai to iman hai
ek hisar-e-aina
sang-zan ki zad mein hai
ek be-karan qulzum
aab-e-ju ki had mein hai
ek fana ka zindani
hasrat-e-abad mein hai
- Book : Aainaa Dar Aainaa (Pg. 40)
- Author : Aziz Qaisi
- Publication : Maktaba Saba Hayderabad (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.