ana ka parinda
Interesting Fact
(Aaj Kal, Delhi)
simaTte hue sāyoñ ke farsh par
der se yūñhī baiThā huā huuñ
ki guzre koī qāfila jāda-e-roz-o-shab se
to pūchhūñ ki darmāndagī kī sazā kyā hai mujh ko batāo
magar Dar rahā huuñ ki koī musāfir
mirī baat par muskurāyā to maiñ kis tarah jī sakūñgā
mirī zindagī ek sarkash anā he
parinde kī sūrat anāsir ke zar-kār pinjre kī zīnat
mirī ruuh bhī jādūgar kī tarah
is anā is parinde ke qālib meñ ḳhalvat-nashīñ hai
kisī ko vo dushman ho yā dost
maiñ pinjre kī tīliyoñ tak pahuñchne duuñ
ye kis tarah ho sakegā
kise ye ḳhabar hai ki maiñ ḳhud ko bhī
apnā dushman samajhne lagā huuñ
simaTte hue sayon ke farsh par
der se yunhi baiTha hua hun
ki guzre koi qafila jada-e-roz-o-shab se
to puchhun ki darmandagi ki saza kya hai mujh ko batao
magar Dar raha hun ki koi musafir
meri baat par muskuraya to main kis tarah ji sakunga
meri zindagi ek sarkash ana he
parinde ki surat anasir ke zar-kar pinjre ki zinat
meri ruh bhi jadugar ki tarah
is ana is parinde ke qalib mein KHalwat-nashin hai
kisi ko wo dushman ho ya dost
main pinjre ki tiliyon tak pahunchne dun
ye kis tarah ho sakega
kise ye KHabar hai ki main KHud ko bhi
apna dushman samajhne laga hun
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 34)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.