Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

anar kali

Asima Tahir

anar kali

Asima Tahir

MORE BYAsima Tahir

    anaar kalī

    tere maqbare ke ahāte meñ

    kis qadar shor-o-ġhul hai

    maiñ jab bhī ḳhud ko tanhā udaas paatī huuñ

    aur daftarī chaa.e kaafī se dil bharne lage

    aḳhbār bhī almārī ke kone zīnat bane

    koī kitāb bhī merā dil na bahlā sake

    to maiñ apne kamre keī khiḌkī khole

    jahāñ se terā maqbara saaf dikhā.ī detā hai

    tere baare meñ sochtī huuñ aur

    udaas mohabbat bharī dāstān meñ kho jaatī huuñ

    maiñ sochtī huuñ ki

    tere maqbare ko bhī yahīñ par honā thā

    in afsaroñ ke kamroñ aur zehnoñ meñ

    filoñ ke sivā kuchh bhī to nahīñ

    mohabbat yahāñ aa kar dam toḌ jaatī hai

    tere aas paas kis qadar ghuTan hai

    terī ḳhushbū kyā kabhī kisī ko aatī hogī

    terī dāstāñ kis ko yaad hogī

    chaa.e mez par

    qahqahoñ aur filoñ ke ambār meñ

    kaun tārīḳh ke in safhāt ko khañgāltā hogā

    kaun suntā hogā terī āhaToñ ke saa.e yahāñ

    magar maiñ

    aksar apne kamre khiḌkī khole

    anar kali

    tere maqbare ke ahate mein

    kis qadar shor-o-ghul hai

    main jab bhi KHud ko tanha udas pati hun

    aur daftari chae kafi se dil bharne lage

    aKHbar bhi almari ke kone ki zinat bane

    koi kitab bhi mera dil na bahla sake

    to main apne kamre kei khiDki khole

    jahan se tera maqbara saf dikhai deta hai

    tere bare mein sochti hun aur

    udas mohabbat bhari dastan mein kho jati hun

    main sochti hun ki

    tere maqbare ko bhi yahin par hona tha

    in afsaron ke kamron aur zehnon mein

    filon ke siwa kuchh bhi to nahin

    mohabbat yahan aa kar dam toD jati hai

    tere aas pas kis qadar ghuTan hai

    teri KHushbu kya kabhi kisi ko aati hogi

    teri dastan kis ko yaad hogi

    chae ki mez par

    qahqahon aur filon ke ambar mein

    kaun tariKH ke in safhat ko khangalta hoga

    kaun sunta hoga teri aahaTon ke sae yahan

    magar main

    aksar apne kamre ki khiDki khole

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now