anar-kali
tere ġham meñ kitnā nāzuk ho gayā hai dil ki ab
is bhare bāzār meñ
har sadā ik ajnabī ehsās kā ā.īna hai
aaj tere ġham se fāriġh ho ke maiñ
bah rahā huuñ lazzat-e-iz.hār ke sailāb meñ
laḌkhaḌāte reñgte lañgḌāte hañste bolte
lafz aur un kā dhuāñ ḳhushbū chamak
chal rahe haiñ mil ke be-āhañg āvāzoñ ke rañg
ajnabī hoñToñ ke lafz
ārzuoñ ke ġhubāre hasratoñ kī titliyāñ
chār-sū uḌtī haiñ maiñ ḳhāmosh huuñ
guftugū ke dā.eroñ meñ phail kar
rañg bhartā jā rahā hai un tamannāoñ kā ḳhuuñ
jin ke lafzoñ ne zabāñ dī sunñe vāloñ kā ḳhayāl
un meñ Duubā jā rahā hai bolte lafzoñ kā sahar
us ko apne daam meñ laatā huā
phail kar aatā hai mujh tak pech-o-ḳham khātā huā
aur maiñ
us kī kaifiyat kā ġhāza apne chehre par lagā.e
ik na.ī āvāz ke saa.e meñ huuñ
chāhtā huuñ band āñkhoñ se maiñ us sailāb meñ
kuud jā.ūñ aur nazzāra karūñ
apne kānoñ se diloñ ke tarjumāñ alfāz kā
sūrat goyā se baḌh kar hai suḳhan-andāz kā
nuqra.ī āvāz meñ lafzoñ kā nuur
apne hamrāhī ke dil par naġhma-bār
jaise shabnam dāman-e-gul par gire be-iḳhtiyār
is sadā meñ harf haiñ yā mom ke aañsū haiñ jo
sham.a ke pahlū meñ girte jā rahe haiñ kyā karūñ
āñkheñ kholūñ aur us bachchī kī sūrat dekh luuñ
us sadā meñ naḳhvat-e-zar kā jalāl
jaise parbat se gire jharnā koī
sañg-e-asvad kī chaTāneñ toḌnā
dost ham-sin ham-suḳhan
jin ke saada saaf se andāz meñ
koī maazī koī mustaqbil nahīñ
haal ke lamhāt rañgīñ qahqahe phūloñ ke haar
aur us āvāz meñ
ziist kī mahrūmiyāñ zanjīr dar zanjīr haiñ
kholte lafzoñ kī bhaap
dil ke ā.īne ko dhuñdlātī hai haath
ḳhud-baḳhud baḌhtā hai apnī jeb kī jānib magar
ye gadā bhī to nahīñ
aur us āvāz meñ hirs-o-havas kā zahr hai
lafz tīroñ kī tarah uḌte hue
sīna-e-ehsās meñ paivast hote haiñ magar
dil se nafrat ke sivā koī sadā uThtī nahīñ
aur ye āvāz merī dost-dār dil tirī āvāz hai
kitne naġhme gūñjte haiñ kitnī rātoñ kā ḳhumār
kitne rañgoñ kā talātum kitne phūloñ kī hañsī
sarsarāte reshmīñ malbūs ke mānind ye terī sadā
Dhāñptī hai garmi-e-āġhosh se parvāz meñ
kho ga.ī haiñ saarī āvāzeñ tirī āvāz meñ
tere gham mein kitna nazuk ho gaya hai dil ki ab
is bhare bazar mein
har sada ek ajnabi ehsas ka aaina hai
aaj tere gham se farigh ho ke main
bah raha hun lazzat-e-izhaar ke sailab mein
laDkhaDate rengte langDate hanste bolte
lafz aur un ka dhuan KHushbu chamak
chal rahe hain mil ke be-ahang aawazon ke rang
ajnabi honTon ke lafz
aarzuon ke ghubare hasraton ki titliyan
chaar-su uDti hain main KHamosh hun
guftugu ke daeron mein phail kar
rang bharta ja raha hai un tamannaon ka KHun
jin ke lafzon ne zaban di sunne walon ka KHayal
un mein Duba ja raha hai bolte lafzon ka sahar
us ko apne dam mein lata hua
phail kar aata hai mujh tak pech-o-KHam khata hua
aur main
us ki kaifiyat ka ghaza apne chehre par lagae
ek nai aawaz ke sae mein hun
chahta hun band aankhon se main us sailab mein
kud jaun aur nazzara karun
apne kanon se dilon ke tarjuman alfaz ka
surat goya se baDh kar hai suKHan-andaz ka
nuqrai aawaz mein lafzon ka nur
apne hamrahi ke dil par naghma-bar
jaise shabnam daman-e-gul par gire be-iKHtiyar
is sada mein harf hain ya mom ke aansu hain jo
shama ke pahlu mein girte ja rahe hain kya karun
aankhen kholun aur us bachchi ki surat dekh lun
us sada mein naKHwat-e-zar ka jalal
jaise parbat se gire jharna koi
sang-e-aswad ki chaTanen toDna
dost ham-sin ham-suKHan
jin ke sada saf se andaz mein
koi mazi koi mustaqbil nahin
haal ke lamhat rangin qahqahe phulon ke haar
aur us aawaz mein
zist ki mahrumiyan zanjir dar zanjir hain
kholte lafzon ki bhap
dil ke aaine ko dhundlati hai hath
KHud-baKHud baDhta hai apni jeb ki jaanib magar
ye gada bhi to nahin
aur us aawaz mein hirs-o-hawas ka zahr hai
lafz tiron ki tarah uDte hue
sina-e-ehsas mein paiwast hote hain magar
dil se nafrat ke siwa koi sada uThti nahin
aur ye aawaz meri dost-dar dil teri aawaz hai
kitne naghme gunjte hain kitni raaton ka KHumar
kitne rangon ka talatum kitne phulon ki hansi
sarsaraate reshmin malbus ke manind ye teri sada
Dhanpti hai garmi-e-aghosh se parwaz mein
kho gai hain sari aawazen teri aawaz mein
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 342)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.