anarchizm
ġhair-fitrī tahaffuz kī majbūriyāñ
aadmī aaj kīḌe-makoḌe kī mānind phir reñgne lag gayā
jin meñ jiine kī kuchh ahliyat hī nahīñ
vo bhī zinda haiñ aur zinda rahne ke haqdār logoñ kā haq khā rahe haiñ
bojh dhartī ke siine kā baḌhtā chalā jā rahā hai
uThā do ye saare qavānīn be-jā zamīnoñ ko āzād kar do
usūl-e-azal aur qānūn-e-fitrat zamīñ par azal hī kī mānind chal jā.egā
zinda rahne kī tāqat tamannā irāda sa.ī
jin meñ hogī vo zinda raheñge
baaqī nākāra mar jā.eñge
bojh dhartī ke siine kā Tal jā.egā
aur phir sāf-suthrī na.ī ḳhūb-sūrat sī duniyā ubhar aa.egī
ghair-fitri tahaffuz ki majburiyan
aadmi aaj kiDe-makoDe ki manind phir rengne lag gaya
jin mein jine ki kuchh ahliyat hi nahin
wo bhi zinda hain aur zinda rahne ke haqdar logon ka haq kha rahe hain
bojh dharti ke sine ka baDhta chala ja raha hai
uTha do ye sare qawanin be-ja zaminon ko aazad kar do
usul-e-azal aur qanun-e-fitrat zamin par azal hi ki manind chal jaega
zinda rahne ki taqat tamanna irada sai
jin mein hogi wo zinda rahenge
baqi nakara mar jaenge
bojh dharti ke sine ka Tal jaega
aur phir saf-suthri nai KHub-surat si duniya ubhar aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.