andaz-e-mohabbat
mere sab ḳhvāb mirī jaan haqīqat se pare
merā har qaul tire vāste afsāna sahī
haañ mujhe 'umr guzārī kā salīqa hī nahīñ
haañ mire taur ye andāz faqīrāna sahī
par mirī jaan maiñ andāz-e-vafā jāntā huuñ
muflisī meñ bhī saḳhāvat kī adā jāntā huuñ
tere ruḳhsār se Dhaltī huī laalī se sivā
tere in shoḳh ḳhad-o-ḳhāl ke mazmūñ se pare
terī pur-kaif chhalaktī huī āñkhoñ kī qasam
ik tire husn ke iqbāl ke mazmūñ se pare
maiñ ne be-laus tire saath mohabbat kī hai
be-ġharaz maiñ ne tah-e-dil se tujhe chāhā hai
jis tarah sham'-e-farozāñ ko patangā chāhe
jis tarah tez havāoñ ko parinda chāhe
mere sab KHwab meri jaan haqiqat se pare
mera har qaul tere waste afsana sahi
han mujhe 'umr guzari ka saliqa hi nahin
han mere taur ye andaz faqirana sahi
par meri jaan main andaz-e-wafa jaanta hun
muflisi mein bhi saKHawat ki ada jaanta hun
tere ruKHsar se Dhalti hui lali se siwa
tere in shoKH KHad-o-KHal ke mazmun se pare
teri pur-kaif chhalakti hui aankhon ki qasam
ek tere husn ke iqbaal ke mazmun se pare
main ne be-laus tere sath mohabbat ki hai
be-gharaz main ne tah-e-dil se tujhe chaha hai
jis tarah sham'-e-farozan ko patanga chahe
jis tarah tez hawaon ko parinda chahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.