andalib
ai andalīb-e-zeb-e-chaman zīnat-e-chaman
hamdam qalaq-nasīboñ kī ulfat ke māroñ kī
shīrīñ tirī navā hai agarche hai pur-ḳharosh
dilkash tirī sadā hai agarche hai dil-ḳharāsh
sāzoñ meñ hai vo baat kahāñ jo ki tujh meñ hai
ulfat kahāñ hai un ko kisī se kahāñ hai laag
he he kisī ke soz se un ko kahāñ hai saaz
be-shubah un meñ lahn hai ik ḳhaas taur kā
be-shubah un kī chheḌ se tharrātī hai havā
lekin tirī sadā se haiñ zāhir ye saaf saaf
ālām-e-yās josh-e-dilī sadma-e-firāq
ya.anī tirī navā hai vo tharrā.e jis se dil
chaltī hai jis ghaḌī ki shab-e-māh meñ sabā
aur jab ki mast ho ho ke hiltī hai shāḳh-e-gul
is vaqt tū jo kartī hai fariyād ham-safīr
betāb aur kartī hai hijrāñ-nasīb ko
lekin tū jis ke vāste rahtī hai be-qarār
hotā hai is kā qurb mahīnoñ tujhe nasīb
hotī hai har bahār meñ tujh ko na.ī bahār
un ko tū dekh dil ko hai jin ke kisī se laag
māshūq kā magar nahīñ nazāra tak nasīb
barsoñ nahīñ hai kūcha-e-dildār tak guzār
fariyād-o-nāla karte haiñ din raat vo magar
mumkin nahīñ ki kānoñ tak us ke pahuñch sake
ai andalib-e-zeb-e-chaman zinat-e-chaman
hamdam qalaq-nasibon ki ulfat ke maron ki
shirin teri nawa hai agarche hai pur-KHarosh
dilkash teri sada hai agarche hai dil-KHarash
sazon mein hai wo baat kahan jo ki tujh mein hai
ulfat kahan hai un ko kisi se kahan hai lag
he he kisi ke soz se un ko kahan hai saz
be-shubah un mein lahn hai ek KHas taur ka
be-shubah un ki chheD se tharraati hai hawa
lekin teri sada se hain zahir ye saf saf
aalam-e-yas josh-e-dili sadma-e-firaq
yani teri nawa hai wo tharrae jis se dil
chalti hai jis ghaDi ki shab-e-mah mein saba
aur jab ki mast ho ho ke hilti hai shaKH-e-gul
is waqt tu jo karti hai fariyaad ham-safir
betab aur karti hai hijran-nasib ko
lekin tu jis ke waste rahti hai be-qarar
hota hai is ka qurb mahinon tujhe nasib
hoti hai har bahaar mein tujh ko nai bahaar
un ko tu dekh dil ko hai jin ke kisi se lag
mashuq ka magar nahin nazara tak nasib
barson nahin hai kucha-e-dildar tak guzar
fariyaad-o-nala karte hain din raat wo magar
mumkin nahin ki kanon tak us ke pahunch sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.