andar ka shaitan
ik hayūlā mire ehsās meñ poshīda hai
gāhe-gāhe jo ubhar aatā hai shaitāñ ban kar
mujh meñ aa jaatī hai ḳhuñḳhār darindoñ kī sifat
vaar kartā huuñ maiñ har fard pe haivāñ ban kar
ḳhairiyat ye hai ki tafhīm kī quvvat ke tufail
aisī hālat se maiñ hotā huuñ bahut kam do-chār
varna is qism ke lamhe jo ba-kasrat aate
ye bhī mumkin thā ki hotā maiñ ḳhud apnā hī shikār
ek hayula mere ehsas mein poshida hai
gahe-gahe jo ubhar aata hai shaitan ban kar
mujh mein aa jati hai KHunKHar darindon ki sifat
war karta hun main har fard pe haiwan ban kar
KHairiyat ye hai ki tafhim ki quwwat ke tufail
aisi haalat se main hota hun bahut kam do-chaar
warna is qism ke lamhe jo ba-kasrat aate
ye bhi mumkin tha ki hota main KHud apna hi shikar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.