andesha
daur-e-māzī kī sunahrī duniyā
jis meñ haq aur sadāqat kī hifāzat ke liye
kabhī maslūb hue
taḳhta-e-dār kabhī
zahr kā jaam kabhī
kabhī koḌoñ kī sazā paa.ī hai
tan-e-nāzuk kabhī sangsār huā
kabhī kāñToñ pe ghasīTā ham ko
āb-e-shamshīr se bhī pyaas bujhā.ī ham ne
aaj maazī kā tasalsul TuuTā
aaj hai zauq-e-shahādat kī kamī
balki fuqdān kaho
aaj eqtidār kī ḳhātir ham ne
apnā maslak bhī badal Daalā hai
rūh-e-insāñ ko kuchal Daalā hai
koī batlā.e hameñ
is kī sazā kyā hogī
daur-e-mazi ki sunahri duniya
jis mein haq aur sadaqat ki hifazat ke liye
kabhi maslub hue
taKHta-e-dar kabhi
zahr ka jam kabhi
kabhi koDon ki saza pai hai
tan-e-nazuk kabhi sangsar hua
kabhi kanTon pe ghasiTa hum ko
aab-e-shamshir se bhi pyas bujhai hum ne
aaj mazi ka tasalsul TuTa
aaj hai zauq-e-shahadat ki kami
balki fuqdan kaho
aaj eqtidar ki KHatir hum ne
apna maslak bhi badal Dala hai
ruh-e-insan ko kuchal Dala hai
koi batlae hamein
is ki saza kya hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.