andesha-e-visal ki ek nazm
shafaq ke phuul thālī meñ sajā.e sāñvlī aa.ī
charāġhoñ se laveñ khiñchīñ darīchoñ meñ namī aa.ī
meñ samjhā us se milne kī ghaḌī aa.ī
havā jārūb-kash thī āsmāñ-āsār tinkoñ kī
jise apnī suhulat ke liye duniyā... ye tan-āsān duniyā... ik muravvat meñ
hujūm-e-ḳhalq kahtī hai
mirī āñkheñ tahī gul-dān kī sūrat muñDeroñ par
galī se uThne vaalī gard ko titlī batātī haiñ
ye manzar munjamid ho kar safar āġhāz kartā hai
lahū kī barq-raftārī tanābeñ kheñch letī hai
ye kaisī shām-e-shahzādī
shafaq ke phuul thālī meñ sajā.e zīna-e-shab se utar aa.ī
meñ samjhā us se milne kī ghaḌī aa.ī
salāḳhoñ se lahū phūTā lahū meñ raushnī aa.ī
shafaq ke phul thaali mein sajae sanwli aai
charaghon se lawen khinchin darichon mein nami aai
mein samjha us se milne ki ghaDi aai
hawa jarub-kash thi aasman-asar tinkon ki
jise apni suhulat ke liye duniya ye tan-asan duniya ek murawwat mein
hujum-e-KHalq kahti hai
meri aankhen tahi gul-dan ki surat munDeron par
gali se uThne wali gard ko titli batati hain
ye manzar munjamid ho kar safar aaghaz karta hai
lahu ki barq-raftari tanaben khench leti hai
ye kaisi sham-e-shahzadi
shafaq ke phul thaali mein sajae zina-e-shab se utar aai
mein samjha us se milne ki ghaDi aai
salaKHon se lahu phuTa lahu mein raushni aai
- Book : Ishq Abaad (kulliyat) (Pg. 165)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.