andesha
ye kis ne ālam-e-hastī kiyā tah-o-bālā
sharāb-e-zīst ko sāġhar meñ maut ke Dhālā
ye kis ne ziist ke dāman ko taar taar kiyā
zamīr-e-vaqt meñ paidā ik intishār kiyā
ye kis ne daulat-e-amn-o-amāñ ko luuT liyā
ki ban ke rāh-numā kārvāñ ko luuT liyā
ye kis ne bāda-e-hastī meñ zahr gholā hai
fasād-o-qahr-o-tabāhī kā baab kholā hai
ye kis ne aql ko ījād kā sila baḳhshā
harīf-e-mūsā-e-imrāñ ko bhī asā baḳhshā
banāyā qaisar-o-nayyar ko hukmrāñ kis ne
chaman ke vāste ḳhud mol lī ḳhizāñ kis ne
ye kis ne zulm ke bandoñ ko teġh-e-kīñ de dī
falak ke mashq-e-sitam ke liye zamīñ de dī
ḳhirad ko rāz-e-darūñ kā surāġh kis ne diyā
sharīr bachche ko āḳhir charāġh kis ne diyā
bahār se na kahīñ zīnat-e-chaman jaa.e
zamīñ tamām ye hiroshima na ban jaa.e
ye kis ne aalam-e-hasti kiya tah-o-baala
sharab-e-zist ko saghar mein maut ke Dhaala
ye kis ne zist ke daman ko tar tar kiya
zamir-e-waqt mein paida ek intishaar kiya
ye kis ne daulat-e-amn-o-aman ko luT liya
ki ban ke rah-numa karwan ko luT liya
ye kis ne baada-e-hasti mein zahr ghola hai
fasad-o-qahr-o-tabahi ka bab khola hai
ye kis ne aql ko ijad ka sila baKHsha
harif-e-musa-e-imran ko bhi asa baKHsha
banaya qaisar-o-nayyar ko hukmran kis ne
chaman ke waste KHud mol li KHizan kis ne
ye kis ne zulm ke bandon ko tegh-e-kin de di
falak ke mashq-e-sitam ke liye zamin de di
KHirad ko raaz-e-darun ka suragh kis ne diya
sharir bachche ko aaKHir charagh kis ne diya
bahaar se na kahin zinat-e-chaman jae
zamin tamam ye hiroshima na ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.