andha aur durbin
jab us ne pahāḌ kā naam liyā
to sab hāñpne lage
jab us ne ġhanīm kī naql-o-harakat batā.ī
to vo kāñpne lage
us ne kahā añdherā
to sab ek dūsre ko TaTolne lage
us ne kahā dariyā ābādī meñ ghus aayā hai
to sab ḳhalā meñ haath pair mārne aur Dūbne lage
tab vo ayyārī se muskurāyā
aur unheñ bāloñ se pakaḌ kar
ḳhalā meñ do-chār ġhote diye
aur alganī par sūkhne ke liye Daal diyā
ab dekheñ vo unheñ kab utārtā hai
jab us ne pahaD ka nam liya
to sab hanpne lage
jab us ne ghanim ki naql-o-harakat batai
to wo kanpne lage
us ne kaha andhera
to sab ek dusre ko TaTolne lage
us ne kaha dariya aabaadi mein ghus aaya hai
to sab KHala mein hath pair marne aur Dubne lage
tab wo ayyari se muskuraya
aur unhen baalon se pakaD kar
KHala mein do-chaar ghote diye
aur algani par sukhne ke liye Dal diya
ab dekhen wo unhen kab utarta hai
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 232)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.