andhera
abhī raushan hai ye charāġh
to ye na samjho
kī ab añdhere kā
koī vajūd hī na rahā
kī vo
raushnī kī talvār se kaaT kar
merā jā chukā hai
is dhoke meñ na rahnā
kī vo hamesha kī liye
ḳharīda jā chukā hai
us ne to bas ik chālāk aur shātir
sipāh sālār kī tarah
apnī pahlī haar ko
pahlī baazī jītne vaale dushman kī
jagmagāhaTī vardī meñ chhupā liyā hai
aur is ke ḳheme meñ
is tarah ghul mil gayā hai
jaise ab us kā apnā koī vajūd na ho
lekin dar-asl vo
samāyā huā hai inhīñ ujāloñ kī zaat meñ
is charāġh kī jalne kī vaj.h ban kar
yahīñ kahīñ
isī raat meñ
baḌe sabr se is ghaat meñ
ki kab ye lau paḌe maddham
aur vo TuuT paḌe
ik shahbāz kī mānind
apne siyāh Dā.ine phailā.e
aur ġhanīmat ke kamzor fāḳhte ko
apne changul meñ daboch le jaa.e
merī baat kā yaqīn na aa.e
to chand lamhoñ ke liye
koī ye charāġh yahāñ se le jaa.e
abhī raushan hai ye charāġh
to āñdhiyoñ se bachāo use
ye ne samjhāo ki ab añdhere kā
koī vajūd hī na rahā
abhi raushan hai ye charagh
to ye na samjho
ki ab andhere ka
koi wajud hi na raha
ki wo
raushni ki talwar se kaT kar
mera ja chuka hai
is dhoke mein na rahna
ki wo hamesha ki liye
KHarida ja chuka hai
us ne to bas ek chaalak aur shatir
sipah salar ki tarah
apni pahli haar ko
pahli bazi jitne wale dushman ki
jagmagahaTi wardi mein chhupa liya hai
aur is ke KHeme mein
is tarah ghul mil gaya hai
jaise ab us ka apna koi wajud na ho
lekin dar-asl wo
samaya hua hai inhin ujalon ki zat mein
is charagh ki jalne ki wajh ban kar
yahin kahin
isi raat mein
baDe sabr se is ghat mein
ki kab ye lau paDe maddham
aur wo TuT paDe
ek shahbaz ki manind
apne siyah Daine phailae
aur ghanimat ke kamzor faKHte ko
apne changul mein daboch le jae
meri baat ka yaqin na aae
to chand lamhon ke liye
koi ye charagh yahan se le jae
abhi raushan hai ye charagh
to aandhiyon se bachao use
ye ne samjhao ki ab andhere ka
koi wajud hi na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.