andheri raat ka musafir
javānī kī añdherī raat hai zulmat kā tūfāñ hai
mirī rāhoñ se nūr-e-māh-o-anjum tak gurezāñ hai
ḳhudā soyā huā hai ahrman mahshar-ba-dāmāñ hai
magar maiñ apnī manzil kī taraf baḌhtā hī jaatā huuñ
ġham o hirmāñ kī yūrish hai masā.ib kī ghaTā.eñ haiñ
junūñ kī fitna-ḳhezī husn kī ḳhūnīñ adā.eñ haiñ
baḌī pur-zor āñdhī hai baḌī kāfir balā.eñ haiñ
magar maiñ apnī manzil kī taraf baḌhtā hī jaatā huuñ
fazā meñ maut ke tārīk saa.e thartharāte haiñ
havā ke sard jhoñke qalb par ḳhanjar chalāte haiñ
guzishta ishratoñ ke ḳhvāb ā.īna dikhāte haiñ
magar maiñ apnī manzil kī taraf baḌhtā hī jaatā huuñ
zamīñ chīñ-bar-jabīñ hai āsmāñ taḳhrīb par maa.il
rafīqān-e-safar meñ koī bismil hai koī ghā.el
ta.āqub meñ luTere haiñ chaTāneñ raah meñ haa.el
magar maiñ apnī manzil kī taraf baḌhtā hī jaatā huuñ
ufuq par zindagī ke lashkar-e-zulmat kā Derā hai
havādis ke qayāmat-ḳhez tūfānoñ ne gherā hai
jahāñ tak dekh saktā huuñ añdherā hī añdherā hai
magar maiñ apnī manzil kī taraf baḌhtā hī jaatā huuñ
charāġh-e-dair fānūs-e-haram qindīl-e-rahbānī
ye sab haiñ muddatoñ se be-niyāz-e-nūr-e-irfānī
na nāqūs-e-barhaman hai na āhañg-e-hudā-ḳhvānī
magar maiñ apnī manzil kī taraf baḌhtā hī jaatā huuñ
talātum-ḳhez dariyā aag ke maidān haa.el haiñ
garajtī āñdhiyāñ biphre hue tūfān haa.el haiñ
tabāhī ke farishte jabr ke shaitān haa.el haiñ
magar maiñ apnī manzil kī taraf baḌhtā hī jaatā huuñ
fazā meñ sho.ala-afshāñ dev-e-istibdād kā ḳhanjar
siyāsat kī sanāneñ ahl-e-zar ke ḳhūñ-chakāñ tevar
fareb-e-be-ḳhudī dete hue billor ke sāġhar
magar maiñ apnī manzil kī taraf baḌhtā hī jaatā huuñ
badī par bārish-e-lutf-o-karam nekī pe ta.azīreñ
javānī ke hasīñ ḳhvāboñ kī haibatnāk ta.abīreñ
nukīlī tez sañgīneñ haiñ ḳhūñ-āshām shamshīreñ
magar maiñ apnī manzil kī taraf baḌhtā hī jaatā huuñ
hukūmat ke mazāhir jañg ke pur-haul naqshe haiñ
kudāloñ ke muqābil top bandūqeñ haiñ neze haiñ
salāsil tāziyāne beḌiyāñ phāñsī ke taḳhte haiñ
magar maiñ apnī manzil kī taraf baḌhtā hī jaatā huuñ
ufuq par jañg kā ḳhūnīñ sitāra jagmagātā hai
har ik jhoñkā havā kā maut kā paiġhām laatā hai
ghaTā kī ghan-garaj se qalb-e-gītī kaañp jaatā hai
magar maiñ apnī manzil kī taraf baḌhtā hī jaatā huuñ
fanā ke āhanī vahshat-asar qadmoñ kī aahaT hai
dhuveñ kī badliyāñ haiñ goliyoñ kī sansanāhaT hai
ajal ke qahqahe haiñ zalzaloñ kī gaḌgaḌāhaT hai
magar maiñ apnī manzil kī taraf baḌhtā hī jaatā huuñ
jawani ki andheri raat hai zulmat ka tufan hai
meri rahon se nur-e-mah-o-anjum tak gurezan hai
KHuda soya hua hai ahrman mahshar-ba-daman hai
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun
gham o hirman ki yurish hai masaib ki ghaTaen hain
junun ki fitna-KHezi husn ki KHunin adaen hain
baDi pur-zor aandhi hai baDi kafir balaen hain
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun
faza mein maut ke tarik sae thartharaate hain
hawa ke sard jhonke qalb par KHanjar chalate hain
guzishta ishraton ke KHwab aaina dikhate hain
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun
zamin chin-bar-jabin hai aasman taKHrib par mail
rafiqan-e-safar mein koi bismil hai koi ghael
taaqub mein luTere hain chaTanen rah mein hael
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun
ufuq par zindagi ke lashkar-e-zulmat ka Dera hai
hawadis ke qayamat-KHez tufanon ne ghera hai
jahan tak dekh sakta hun andhera hi andhera hai
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun
charagh-e-dair fanus-e-haram qindil-e-rahbani
ye sab hain muddaton se be-niyaz-e-nur-e-irfani
na naqus-e-barhaman hai na aahang-e-huda-KHwani
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun
talatum-KHez dariya aag ke maidan hael hain
garajti aandhiyan biphre hue tufan hael hain
tabahi ke farishte jabr ke shaitan hael hain
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun
faza mein shoala-afshan dew-e-istibdad ka KHanjar
siyasat ki sananen ahl-e-zar ke KHun-chakan tewar
fareb-e-be-KHudi dete hue billor ke saghar
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun
badi par barish-e-lutf-o-karam neki pe taziren
jawani ke hasin KHwabon ki haibatnak tabiren
nukili tez sanginen hain KHun-asham shamshiren
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun
hukumat ke mazahir jang ke pur-haul naqshe hain
kudalon ke muqabil top banduqen hain neze hain
salasil taziyane beDiyan phansi ke taKHte hain
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun
ufuq par jang ka KHunin sitara jagmagata hai
har ek jhonka hawa ka maut ka paigham lata hai
ghaTa ki ghan-garaj se qalb-e-giti kanp jata hai
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun
fana ke aahani wahshat-asar qadmon ki aahaT hai
dhuwen ki badliyan hain goliyon ki sansanahaT hai
ajal ke qahqahe hain zalzalon ki gaDgaDahaT hai
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 43)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.