andhiyara
añdhiyārā aur ḳhāmoshī mil jaate haiñ
dard bahut baḌh jaatā hai
duniyā par vahshat chhā jaatī hai
kahne ko bāteñ haiñ bā-ma.anī bhī be-ma.anī bhī
jab baat kā matlab uḌ jaa.e
alfāz pareshāñ ho jaa.eñ
kyā jaane kyā kahnā kis se kahnā kyā hai
patthar patthar Thokar lagtī hai
rishta ġhā.eb ho jaatā hai
apne se yā aur kisī se
bandhan kaisā?
gambhīr udāsī chhā jaatī hai
tanhā tanhā sab kī rāheñ
apnī apnī sab kī bolī
mahrūmī har sūrat sab kī mahrūmī hai
sāvan kā manzar
har jānib harā harā hai
andhiyara aur KHamoshi mil jate hain
dard bahut baDh jata hai
duniya par wahshat chha jati hai
kahne ko baaten hain ba-mani bhi be-mani bhi
jab baat ka matlab uD jae
alfaz pareshan ho jaen
kya jaane kya kahna kis se kahna kya hai
patthar patthar Thokar lagti hai
rishta ghaeb ho jata hai
apne se ya aur kisi se
bandhan kaisa?
gambhir udasi chha jati hai
tanha tanha sab ki rahen
apni apni sab ki boli
mahrumi har surat sab ki mahrumi hai
sawan ka manzar
har jaanib hara hara hai
- Book : naquush (Pg. 229)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.