andoh-e-visal
aa.ina raakh huā
be-karāñ shab kī sisaktī huī ḳhāmoshī meñ
chashm-e-hairat se pighaltā huā sahrā niklā
reg-e-girya se ka.ī naqsh bane
TūTte chubhte bikharte hue naqsh
rag-o-resha se ulajhte hue naqsh
naḳhl-e-imkāñ ko bhasm kartī huī aag uThī
aag zholīda ḳhayāloñ ko jalātī huī aag
jism meñ raakh siyah raakh bichhātī huī aag
aur is raakh se ummīd kā jhulsā huā aks
band kamre meñ añdhere kā sahārā pā kar
bain kartā dar-o-dīvār ke andar niklā
aa.ina raakh huā
ghar kī dahlīz se kuchh ḳhaak uḌī
baam pe rakkhe charāġhoñ kī vo Thahrī huī lau
band hote hue darvāze kī āvāz ke saath
kapkapāte hue mādūm huī
sahn meñ rakhe hue gamle se
gul-e-nargis kī laḌī TuuT girī
kuchh parinde ghanī shāḳhoñ se uḌe
aur dālān meñ jāmun kā shajar suukh gayā
aaina rakh hua
be-karan shab ki sisakti hui KHamoshi mein
chashm-e-hairat se pighalta hua sahra nikla
reg-e-girya se kai naqsh bane
TuTte chubhte bikharte hue naqsh
rag-o-resha se ulajhte hue naqsh
naKHl-e-imkan ko bhasm karti hui aag uThi
aag zholida KHayalon ko jalati hui aag
jism mein rakh siyah rakh bichhati hui aag
aur is rakh se ummid ka jhulsa hua aks
band kamre mein andhere ka sahaara pa kar
bain karta dar-o-diwar ke andar nikla
aaina rakh hua
ghar ki dahliz se kuchh KHak uDi
baam pe rakkhe charaghon ki wo Thahri hui lau
band hote hue darwaze ki aawaz ke sath
kapkapate hue madum hui
sahn mein rakhe hue gamle se
gul-e-nargis ki laDi TuT giri
kuchh parinde ghani shaKHon se uDe
aur dalan mein jamun ka shajar sukh gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.