andoh-nak
maiñ apnī ātish meñ jal rahā thā
to maiñ ne dekhā
ki log mujh se zarā hī duur
ik gaḌhe ke atrāf yuuñ jam.a the
ki jaise duniyā ke saare kāmoñ ko chhoḌ kar
sirf mere jalne ke muntazir hoñ
vo der se
ustuḳhvāñ lahad meñ utārne ke liye khaḌe the
vo sab azādār the magar
hasb-e-ādat hī phabtiyāñ kas rahe the mujh par
maiñ jal rahā thā
magar mire kaan un kī āvāz sun rahe the
mirī nigāheñ talāsh meñ thiiñ
ki vaar mujh par kiyā thā kis ne
maiñ sochtā thā ki apne bujhne se peshtar hī
maiñ apnī āñkheñ
havā ke jhoñkoñ se bāñdh dūñgā
phir is ke kuchh der baa'd
mujh ko shabīh merī dikhā.ī dī thī
maiñ apnī āñkhoñ meñ jal rahā thā
pighal rahā thā
aur agle lamhe
mirī nazar jab dobāra uTThī to maiñ ne dekhā
ki merā ham-zād ek patthar kī aaḌ le kar
mirā hī Dhāñcha chabā rahā thā
main apni aatish mein jal raha tha
to main ne dekha
ki log mujh se zara hi dur
ek gaDhe ke atraf yun jama the
ki jaise duniya ke sare kaamon ko chhoD kar
sirf mere jalne ke muntazir hon
wo der se
ustuKHwan lahad mein utarne ke liye khaDe the
wo sab azadar the magar
hasb-e-adat hi phabtiyan kas rahe the mujh par
main jal raha tha
magar mere kan un ki aawaz sun rahe the
meri nigahen talash mein thin
ki war mujh par kiya tha kis ne
main sochta tha ki apne bujhne se peshtar hi
main apni aankhen
hawa ke jhonkon se bandh dunga
phir is ke kuchh der ba'd
mujh ko shabih meri dikhai di thi
main apni aankhon mein jal raha tha
pighal raha tha
aur agle lamhe
meri nazar jab dobara uTThi to main ne dekha
ki mera ham-zad ek patthar ki aaD le kar
mera hi Dhancha chaba raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.