anghraata
maiñ parda girāne lagā huuñ
palak se palak ko
milāne lagā huuñ
zamāna mire ḳhvāboñ meñ aa ke
rone lagā hai
maiñ ūñToñ ko le aa.uuñ
āḳhir kahāñ jā ke charne lage haiñ
jahāñ par
parinde paroñ ko nahīñ kholte haiñ
jahāñ sarhadeñ haiñ falak jaisī qaa.em
vahāñ paañv dharne lage haiñ
maiñ ūñToñ ko le aa.uuñ vāpas
maiñ bheḌoñ ko duuh luuñ
ka.ī maaoñ kī chhātiyāñ
chhipkilī kī tarah
sūkhe siine kī chhat se
ik arse se laTkī huī haiñ
unheñ jā ke moh luuñ
ka.ī fāḳhtā.eñ
jo niklī thiiñ kah kar
ki ā.eñgī vāpas
chamaktī dopahroñ se pahle
vo marg-āsā andhe ḳhalāoñ meñ
bhaTkī huī haiñ
gad.he vaalā
be-vazan ruuī ko laade hue
shahr se lauT aayā hai
halkī thī ruuī
bahut bhārī din thā
talā-doz tājir ne motī bhī
laane kā us se kahā thā
jo rañgīñ urūsāna joḌe meñ jaḌne haiñ
nādāñ
dulhan ko bhī ma.alūm hai
tez bārish to honī hai
ole to paḌne haiñ
nāzuk sī Tahnī pe jhūlā hai
jhūle kī rassī hai nāzuk
so rassī meñ bal āḳhir-kār paḌe haiñ
añdhrātā baḌhne lagā hai
machhere ko dariyā se vāpas bhī aanā hai
tannūr meñ giilī shāḳheñ jalānī haiñ
tannūr kī tarah
ḳhvāboñ-bharī jal rahī hai
use bhī kushāda bhare bāzuoñ meñ to aanā hai!!
main parda girane laga hun
palak se palak ko
milane laga hun
zamana mere KHwabon mein aa ke
rone laga hai
main unTon ko le aaun
aaKHir kahan ja ke charne lage hain
jahan par
parinde paron ko nahin kholte hain
jahan sarhaden hain falak jaisi qaem
wahan panw dharne lage hain
main unTon ko le aaun wapas
main bheDon ko duh lun
kai maon ki chhatiyan
chhipkili ki tarah
sukhe sine ki chhat se
ek arse se laTki hui hain
unhen ja ke moh lun
kai faKHtaen
jo nikli thin kah kar
ki aaengi wapas
chamakti dopahron se pahle
wo marg-asa andhe KHalaon mein
bhaTki hui hain
gadhe wala
be-wazan rui ko lade hue
shahr se lauT aaya hai
halki thi rui
bahut bhaari din tha
tala-doz tajir ne moti bhi
lane ka us se kaha tha
jo rangin urusana joDe mein jaDne hain
nadan
dulhan ko bhi malum hai
tez barish to honi hai
ole to paDne hain
nazuk si Tahni pe jhula hai
jhule ki rassi hai nazuk
so rassi mein bal aaKHir-kar paDe hain
andhraata baDhne laga hai
machhere ko dariya se wapas bhi aana hai
tannur mein gili shaKHen jalani hain
tannur ki tarah
KHwabon-bhari jal rahi hai
use bhi kushada bhare bazuon mein to aana hai!!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 97)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.