anis-nagi ke nam
dam-e-visāl nigāhoñ meñ hijr kā manzar
misāl-e-gardish-e-ā.īna
aise boltā hai
ki jaise kūcha-e-ḳhāk-e-vajūd ke andar
ġhubār niiñd kā hairat ke raaz kholtā hai
maiñ jāgtā huuñ
magar shahr mere saath nahīñ
havā ne baam pe rakkhe diye bujhā.e haiñ
shab-e-siyāh ne
ham sab ke dil dukhā.e haiñ
maiñ be-kanār se raste pe paañv paañv chalā
kināra-e-mah-o-anjum kī samt kho baiThā
mire halīf
mujhe ruuh kī amaañ de kar
duā ke dasht meñ mujh ko akelā chhoḌ ga.e
barahnagī mire chehre ko Dhāñpne aa.ī
ulajh rahe haiñ mire ḳhvāb merī āñkhoñ se
maiñ ūñghtā huuñ
ki shāyad vo din palaT aa.eñ
ki jin ke paas amānat hai merī chāragarī
maiñ muntazir huuñ ki shāyad
ba-vaqt-e-qurb-e-sahar
mirī jabīñ pe ujāle kā daaġh ban jaa.e
hisār-e-chashm meñ
aañsū charāġh ban jaa.e!
dam-e-visal nigahon mein hijr ka manzar
misal-e-gardish-e-aina
aise bolta hai
ki jaise kucha-e-KHak-e-wajud ke andar
ghubar nind ka hairat ke raaz kholta hai
main jagta hun
magar shahr mere sath nahin
hawa ne baam pe rakkhe diye bujhae hain
shab-e-siyah ne
hum sab ke dil dukhae hain
main be-kanar se raste pe panw panw chala
kinara-e-mah-o-anjum ki samt kho baiTha
mere halif
mujhe ruh ki aman de kar
dua ke dasht mein mujh ko akela chhoD gae
barahnagi mere chehre ko Dhanpne aai
ulajh rahe hain mere KHwab meri aankhon se
main unghta hun
ki shayad wo din palaT aaen
ki jin ke pas amanat hai meri chaaragari
main muntazir hun ki shayad
ba-waqt-e-qurb-e-sahar
meri jabin pe ujale ka dagh ban jae
hisar-e-chashm mein
aansu charagh ban jae!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 84)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.