anjam
shaam kī dhund
aaj
kyuuñ gahrī huī
mere ehsās kī rag rag meñ
ye nashtar sā lagāyā kis ne
duur tak phail gayā
shabnamī lamhoñ kā ġhubār
garm paanī kī mirī palkoñ pe
hotī rahtī hai phuvār
aur miTTī kā banā merā vajūd
chand lamhoñ meñ pighal jaatā hai
sham ki dhund
aaj
kyun gahri hui
mere ehsas ki rag rag mein
ye nashtar sa lagaya kis ne
dur tak phail gaya
shabnami lamhon ka ghubar
garm pani ki meri palkon pe
hoti rahti hai phuwar
aur miTTi ka bana mera wajud
chand lamhon mein pighal jata hai
- Book : Mukhtalif (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.