anjam
vahī chehre nazar ke sāmne haiñ
jinheñ pahchānñā
mushkil nahīñ hai
ye mere sāmne barsoñ rahe haiñ
magar!
ab kis liye
ye mere sar meñ
musalsal dard sā rahne lagā hai
(unheñ har ek pal tak tak ke shāyad)
(mirī āñkheñ hī shāyad bujh rahī haiñ)
maiñ in āñkhoñ se
ab kitnā dukhī huuñ
vahī chehre
maiñ jin se āshnā huuñ
mujhe āñkhoñ pe kitnā zor de kar
unheñ pahchānñā paḌtā hai
āḳhir!
ye barqī rau sī kaise chhoḌte haiñ
thakan kī aur uktāhaT kī
āḳhir!
vo bāteñ ḳhatm kaise ho ga.ī haiñ
vo āvāzeñ!
kahāñ haiñ aaj?
āḳhir!
vo in āñkhoñ meñ kaise kho ga.ī haiñ
ki andhe bhī
to ik duuje ko
āḳhir!
baġhair āñkhoñ hī ke pahchānte haiñ
to kyaa?
āvāz āñkhoñ se baḌī hai?
(ye ham pe kaisī biptā aa paḌī hai?)
hamārī nasl!
kitnī zinda-dil thī
hamārī nasl kā anjām
āḳhir!
huā hai kis liye itnā bhayānak
ki tak tak kar kisī ko uub jaanā
nazar ke saath ḳhud bhī Duub jaanā
wahi chehre nazar ke samne hain
jinhen pahchanna
mushkil nahin hai
ye mere samne barson rahe hain
magar!
ab kis liye
ye mere sar mein
musalsal dard sa rahne laga hai
(unhen har ek pal tak tak ke shayad)
(miri aankhen hi shayad bujh rahi hain)
main in aankhon se
ab kitna dukhi hun
wahi chehre
main jin se aashna hun
mujhe aankhon pe kitna zor de kar
unhen pahchanna paDta hai
aaKHir!
ye barqi rau si kaise chhoDte hain
thakan ki aur uktahaT ki
aaKHir!
wo baaten KHatm kaise ho gai hain
wo aawazen!
kahan hain aaj?
aaKHir!
wo in aankhon mein kaise kho gai hain
ki andhe bhi
to ek duje ko
aaKHir!
baghair aankhon hi ke pahchante hain
to kya?
aawaz aankhon se baDi hai?
(ye hum pe kaisi bipta aa paDi hai?)
hamari nasl!
kitni zinda-dil thi
hamari nasl ka anjam
aaKHir!
hua hai kis liye itna bhayanak
ki tak tak kar kisi ko ub jaana
nazar ke sath KHud bhi Dub jaana
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 347)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.