anjaan safar
añdherī raat ke musāfir
zarā dam to lo
zamīn sañglāḳh
safar tanhā
sadā-ba-sahrā
terī pesh-qadmī ko betāb
afkār ke tiir
tujhe añdhere meñ jugnuoñ kī talāsh
phir ummīd kā ik nayā fareb
himmat-o-hausla kī saraktī chādar
hālāt ke kāñToñ meñ phañsī
aisī ki nikal bhī na sakī
manzil kī talāsh meñ tanhā musāfir
zarā dam to lo
añdherī raat ke musāfir
zarā dam to lo
ḳhud-farebī kī sham.a thāme
in nā-hamvār rāhoñ par
le gayā ḳhvāb mujhe
siyāh rātoñ meñ jalte bujhte
charāġhoñ ke saath
manzil kī talāsh meñ sargardāñ
tanhā musāfir
zarā dam to lo
añdherī raat ke musāfir
zarā dam to lo
andheri raat ke musafir
zara dam to lo
zamin sanglaKH
safar tanha
sada-ba-sahra
teri pesh-qadmi ko betab
afkar ke tir
tujhe andhere mein jugnuon ki talash
phir ummid ka ek naya fareb
himmat-o-hausla ki sarakti chadar
haalat ke kanTon mein phansi
aisi ki nikal bhi na saki
manzil ki talash mein tanha musafir
zara dam to lo
andheri raat ke musafir
zara dam to lo
KHud-farebi ki shama thame
in na-hamwar rahon par
le gaya KHwab mujhe
siyah raaton mein jalte bujhte
charaghon ke sath
manzil ki talash mein sargardan
tanha musafir
zara dam to lo
andheri raat ke musafir
zara dam to lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.