ankabut
tah-dar-tah jañgal ke andar
us kā ik chhoTā sā ghar thā
aur ḳhud jañgal
shab ke kaale resham ke
ik thaan ke andar
dabā paḌā thā
chur-mur sī āvāz banā thā
aur shab
gore din ke
makḌī-jāl meñ jakḌī
ik kaalī makkhī kī sūrat
laTak rahī thī
maiñ kyā kartā
majbūrī sī majbūrī thī
maiñ ne ḳhud ko
ghar chhappar meñ
ulTā laTkā dekh liyā thā
kitnī hī girhoñ meñ jakḌā
dekh liyā thā
makḌī jaane kahāñ ga.ī thī
apnī tahoñ ke andar shāyad
phañsī huī thī
maiñ kyā jānūñ
tah-dar-tah jangal ke andar
us ka ek chhoTa sa ghar tha
aur KHud jangal
shab ke kale resham ke
ek than ke andar
daba paDa tha
chur-mur si aawaz bana tha
aur shab
gore din ke
makDi-jal mein jakDi
ek kali makkhi ki surat
laTak rahi thi
main kya karta
majburi si majburi thi
main ne KHud ko
ghar chhappar mein
ulTa laTka dekh liya tha
kitni hi girhon mein jakDa
dekh liya tha
makDi jaane kahan gai thi
apni tahon ke andar shayad
phansi hui thi
main kya jaanun
- Book : Tasteer(Issue No. 9,10 July/August. 1999) (Pg. 256)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.