anmol chahat
gum-sum sī
jab bhī udaas hotī huuñ
chupke se chalā aatā hai vo
dhīre se muskurātā hai
aur dil meñ samā jaatā hai vo
apnī ras bharī āvāz meñ
mīThī mīThī bātoñ se
dil ko bahlātā hai vo
aur
dhīme se kahtā hai ki
kar lo merā yaqīn
maiñ hī tumhārī chāhat huuñ
pyaar se kar lo mujhe qubūl
kyūñ-ki
maiñ hī tumhārī anmol chāhat huuñ
gum-sum si
jab bhi udas hoti hun
chupke se chala aata hai wo
dhire se muskuraata hai
aur dil mein sama jata hai wo
apni ras bhari aawaz mein
miThi miThi baaton se
dil ko bahlata hai wo
aur
dhime se kahta hai ki
kar lo mera yaqin
main hi tumhaari chahat hun
pyar se kar lo mujhe qubul
kyun-ki
main hi tumhaari anmol chahat hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.