anmol ratan
bhārat kā anmol ratan the maulānā āzād
sachche ek muhibb-e-vatan the maulānā āzād
bū-e-gul nau-rang-e-chaman the maulānā āzād
in ke hī īsār-o-amal se des huā ābād
bhārat kā anmol ratan the maulānā āzād
āzādī kā ḳhvāb dikhāyā apne aḳhbāroñ se
bedārī kā paaTh paḌhāyā apne aḳhbāroñ se
qaum kā apnī azm baḌhāyā apne aḳhbāroñ se
un ke hī īsār-o-amal se des huā ābād
bhārat kā anmol ratan the maulānā āzād
qaid-o-band meñ rah kar bhī likkhīñ kitnī tahrīreñ
ek hue sab hindū muslim aisī kiiñ taqrīreñ
des huā āzād hamārā socheñ vo tadbīreñ
un ke hī īsār-o-amal se des huā ābād
bhārat kā anmol ratan the maulānā āzād
dūr-andeshī aisī jis kā koī nahīñ thā saanī
haq-goī thī aisī in kī baat har ik ne maanī
un ke azm ke aage ho ga.e dushman paanī paanī
un ke hī īsār-o-amal se des huā ābād
bhārat kā anmol ratan the maulānā āzād
ek mufakkir ek mudabbir ek siyāsat-dāñ bhī
mulk-o-qaum kī ḳhātir dene ko tayyār the jaañ bhī
kyā duniyā meñ paidā hogā phir aisā insāñ bhī
un ke hī īsār-o-amal se des huā ābād
bhārat kā anmol ratan the maulānā āzād
dil ko raushan kar detī hai tafsīr-e-qur.ān
insānoñ se ulfat karnā thā un kā īmān
sab kuchh likh kar bhī baaqī thā likhne kā armān
un ke hī īsār-o-amal se des huā ābād
bhārat kā anmol ratan the maulānā āzād
bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad
sachche ek muhibb-e-watan the maulana aazad
bu-e-gul nau-rang-e-chaman the maulana aazad
in ke hi isar-o-amal se des hua aabaad
bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad
aazadi ka KHwab dikhaya apne aKHbaron se
bedari ka paTh paDhaya apne aKHbaron se
qaum ka apni azm baDhaya apne aKHbaron se
un ke hi isar-o-amal se des hua aabaad
bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad
qaid-o-band mein rah kar bhi likkhin kitni tahriren
ek hue sab hindu muslim aisi kin taqriren
des hua aazad hamara sochen wo tadbiren
un ke hi isar-o-amal se des hua aabaad
bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad
dur-andeshi aisi jis ka koi nahin tha sani
haq-goi thi aisi in ki baat har ek ne mani
un ke azm ke aage ho gae dushman pani pani
un ke hi isar-o-amal se des hua aabaad
bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad
ek mufakkir ek mudabbir ek siyasat-dan bhi
mulk-o-qaum ki KHatir dene ko tayyar the jaan bhi
kya duniya mein paida hoga phir aisa insan bhi
un ke hi isar-o-amal se des hua aabaad
bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad
dil ko raushan kar deti hai tafsir-e-quran
insanon se ulfat karna tha un ka iman
sab kuchh likh kar bhi baqi tha likhne ka arman
un ke hi isar-o-amal se des hua aabaad
bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.