anokhe pal
apnā bachpan DhūñD rahī thī
āñgan meñ kyārī meñ
phūloñ meñ guḌiyoñ meñ
khule khule ākāsh meñ
tāroñ meñ chandā meñ
sūraj kī garmāhaT meñ
bārish kī girtī būñdoñ meñ
titlī ke rangoñ meñ
phūloñ kī ḳhushbū meñ
lekin vo paayā maiñ ne
do nanhe munne hāthoñ meñ
jo apnī bāñheñ phailā.e
apne bachpan kī tasvīr meñ mirā aks sameTe
shīrīñ hoñToñ par mamtā ke lafz sajā.e
mujh ko maañ kah kar
ḳhvāboñ ke in anjān
jazīroñ meñ pahuñchā detā hai
jahāñ mujhe ik sajā sajāyā ghar miltā hai
apna bachpan DhunD rahi thi
aangan mein kyari mein
phulon mein guDiyon mein
khule khule aakash mein
taron mein chanda mein
suraj ki garmahaT mein
barish ki girti bundon mein
titli ke rangon mein
phulon ki KHushbu mein
lekin wo paya main ne
do nanhe munne hathon mein
jo apni banhen phailae
apne bachpan ki taswir mein mera aks sameTe
shirin honTon par mamta ke lafz sajae
mujh ko man kah kar
KHwabon ke in anjaan
jaziron mein pahuncha deta hai
jahan mujhe ek saja sajaya ghar milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.