anokhi duniya
ik anokhī nirālī duniyā meñ
yuuñ samajh lo ḳhayālī duniyā meñ
apnī duniyā se bhī bahut pahle
lo kahānī suno ki dil bahle
nāchte the sitāre chham chham chham
aur bhaiñseñ thiraktī thiiñ bāham
gaa.eñ burqe meñ muñh chhupātī thiiñ
bachhḌoñ ko oḌhnī uḌhātī thiiñ
barf ke jab pahāḌ galte the
uuñT chesTer pahan ke chalte the
kyā zamāna thā kyā kahūñ sāthī
pā.ejāma pahante the hāthī
machhliyāñ saḌkoñ par Tahaltī thiiñ
park kī ghāñs par machaltī thiiñ
pahne rahtā thā har qulī kamḳhāb
shāhzāde uThāte the asbāb
baaz ġhauġhā.iyoñ se Darte the
aur kabūtar shikār karte the
billī chūhe se ḳhauf khātī thī
kutte ko us kī dum hilātī thī
sher kā dil dhaḌaktā thā dhak dhak
saare jangal kā raajā thā meñDak
bakriyāñ par lagā ke uḌtī thiiñ
dum havā meñ uThā ke uḌtī thiiñ
bail ke siiñg ho ga.e the gum
nazar aatā thā har gadhā be-dum
murġhiyoñ ke the maḳhmalī gadde
jin pe detī thiiñ baiTh kar anDe
shahd kī sī kūnīn meñ thī miThās
dukh ko kahte the sukh to aas ko yaas
chiḌiyāñ rozāna duudh detī thiiñ
kashtiyāñ māñjhiyoñ ko khetī thiiñ
reshmī saafa bāñdh kar ghoḌe
shaan se masnadoñ pe baiThe the
bachche islāh karte copy par
dauḌā karte the race meñ teacher
ek anokhi nirali duniya mein
yun samajh lo KHayali duniya mein
apni duniya se bhi bahut pahle
lo kahani suno ki dil bahle
nachte the sitare chham chham chham
aur bhainsen thirakti thin baham
gaen burqe mein munh chhupati thin
bachhDon ko oDhni uDhati thin
barf ke jab pahaD galte the
unT chesTer pahan ke chalte the
kya zamana tha kya kahun sathi
paejama pahante the hathi
machhliyan saDkon par Tahalti thin
park ki ghans par machalti thin
pahne rahta tha har quli kamKHab
shahzade uThate the asbab
baz ghaughaiyon se Darte the
aur kabutar shikar karte the
billi chuhe se KHauf khati thi
kutte ko us ki dum hilati thi
sher ka dil dhaDakta tha dhak dhak
sare jangal ka raja tha meinDak
bakriyan par laga ke uDti thin
dum hawa mein uTha ke uDti thin
bail ke sing ho gae the gum
nazar aata tha har gadha be-dum
murghiyon ke the maKHmali gadde
jin pe deti thin baiTh kar anDe
shahd ki si kunin mein thi miThas
dukh ko kahte the sukh to aas ko yas
chiDiyan rozana dudh deti thin
kashtiyan manjhiyon ko kheti thin
reshmi safa bandh kar ghoDe
shan se masnadon pe baiThe the
bachche islah karte copy par
dauDa karte the race mein teacher
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.