anokhi shahzadi
maanā maiñ ik shahzādī huuñ
jo qaidī hai
lekin mere dil meñ shahzāde kī chaah kā koī tiir nahīñ hai
merī āñkheñ us kī raah nahīñ taktī haiñ
phir bhī dev kī qaid se chhuT kar
duur hare khetoñ, niile dariyāoñ, shafaqī bādaloñ, gaate tā.eroñ
ḳhushbuoñ se lade hue jhoñkoñ ko chhūnā chāhūñ
chūmnā chāhūñ
un meñ ghul-mil jaanā chāhūñ
(mere shahzāde! maiñ jānūñ tū bhī to ye sab kuchh karnā chāhtā hogā)
mana main ek shahzadi hun
jo qaidi hai
lekin mere dil mein shahzade ki chah ka koi tir nahin hai
meri aankhen us ki rah nahin takti hain
phir bhi dew ki qaid se chhuT kar
dur hare kheton, nile dariyaon, shafaqi baadalon, gate taeron
KHushbuon se lade hue jhonkon ko chhuna chahun
chumna chahun
un mein ghul-mil jaana chahun
(mere shahzade! main jaanun tu bhi to ye sab kuchh karna chahta hoga)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.