antina ke neze
gum hue yuuñ ki kabhī mere shanāsā hī na the
kuchh likhā hotā tumheñ mujh se shikāyat kyā hai
ḳhabar kab aa.e ho kaise sunāo pyāre
kyā ḳhabar laa.e ho yāroñ kī hikāyat kyā hai
us ne ye kuchh na kahā
aur kahā to itnā
khel dil-chasp hai nazzāre karo
aur phir ek ḳhalā
ek girāñ-bār ḳhamoshī kī aziyyat le kar
maiñ ye kahtā huā uTh aayā
ki haañ
khel hai dilchasp bahut
gum hue yun ki kabhi mere shanasa hi na the
kuchh likha hota tumhein mujh se shikayat kya hai
KHabar kab aae ho kaise sunao pyare
kya KHabar lae ho yaron ki hikayat kya hai
us ne ye kuchh na kaha
aur kaha to itna
khel dil-chasp hai nazzare karo
aur phir ek KHala
ek giran-bar KHamoshi ki aziyyat le kar
main ye kahta hua uTh aaya
ki han
khel hai dilchasp bahut
- Book : pushtara (Pg. 154)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.