apahij dinon ki nadamat
khiḌkiyāñ khol do
zabt kī khiḌkiyāñ khol do
maiñ khilūñ june kī dopahar meñ
december kī shab meñ
sabhī mausamoñ ke kaTahre meñ apnī nafī kā maiñ isbāt ban kar khilūñ
ḳhvāhishoñ
niiñd kī jañgalī jhāḌiyoñ
apne hī ḳhuun kī daldaloñ meñ khilūñ
bhā.iyoñ kī phaTī āstīnoñ meñ
bahnoñ ke sajdoñ meñ
māñ-bāp ke be-zabāñ dard meñ adh-jale cigaretoñ kā tamāsha banūñ
har na.ī sub.h ke bas-sTopoñ pe Thahrī huī laḌkiyoñ kī kitāboñ meñ
maslūb hone chalūñ
maiñ apāhij dinoñ kī nadāmat banūñ
khiḌkiyāñ khol do
chhoḌ do rāste
shahr-e-be-ḳhvāb meñ ghūmne do mujhe
sub.h se shaam tak shaam se sub.h tak
us añdhere kī ik ik karan chūmne do mujhe
jis meñ bezār lamhoñ kī sāzish huī
aur dahaloñ se nahle baḌe ho ga.e
jis meñ be-nūr kirnoñ kī bārish huī
bahr-e-shab-zād meñ jo safīne utāre bhañvar ban ga.e
ḳhvāb meñ ḳhvāb ke phuul khilne lage khiḌkiyāñ khol do
jāgne do mujhe
khiDkiyan khol do
zabt ki khiDkiyan khol do
main khilun june ki dopahar mein
december ki shab mein
sabhi mausamon ke kaTahre mein apni nafi ka main isbaat ban kar khilun
KHwahishon
nind ki jangali jhaDiyon
apne hi KHun ki daldalon mein khilun
bhaiyon ki phaTi aastinon mein
bahnon ke sajdon mein
man-bap ke be-zaban dard mein adh-jale cigareton ka tamasha banun
har nai subh ke bas-sTopon pe Thahri hui laDkiyon ki kitabon mein
maslub hone chalun
main apahij dinon ki nadamat banun
khiDkiyan khol do
chhoD do raste
shahr-e-be-KHwab mein ghumne do mujhe
subh se sham tak sham se subh tak
us andhere ki ek ek karan chumne do mujhe
jis mein bezar lamhon ki sazish hui
aur dahalon se nahle baDe ho gae
jis mein be-nur kirnon ki barish hui
bahr-e-shab-zad mein jo safine utare bhanwar ban gae
KHwab mein KHwab ke phul khilne lage khiDkiyan khol do
jagne do mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.