Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apna apna dukh

Shahram Sarmadi

apna apna dukh

Shahram Sarmadi

MORE BYShahram Sarmadi

    bachpan se

    ammāñ se sunā karte the

    'pāñchoñ uñgliyāñ ek barābar nahīñ hotīñ'

    lekin pichhle kuchh barsoñ se

    ammāñ mañjhlī uñglī ko

    khīñch rahī haiñ

    kahtī haiñ:

    'us ko kaise chhoḌūñ

    pīchhe rah jā.egī'

    mañjhlī uñglī bhī to āḳhir jāntī hogī

    'pāñchoñ uñgliyāñ ek barābar nahīñ hotīñ'

    pīchhe rah jaane dukh to mañjhlī uñglī sah jā.egī

    lekin chhoTī uñglī?

    jise dabā kar

    ammāñ mañjhlī uñglī khīñch rahī haiñ

    bachpan se

    amman se suna karte the

    'panchon ungliyan ek barabar nahin hotin'

    lekin pichhle kuchh barson se

    amman manjhli ungli ko

    khinch rahi hain

    kahti hain:

    'us ko kaise chhoDun

    pichhe rah jaegi'

    manjhli ungli bhi to aaKHir jaanti hogi

    'panchon ungliyan ek barabar nahin hotin'

    pichhe rah jaane ka dukh to manjhli ungli sah jaegi

    lekin chhoTi ungli?

    jise daba kar

    amman manjhli ungli khinch rahi hain

    Source :
    • Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 102)
    • Author :Shahram Sarmadi
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now