apna apna rang
tū hai ik tāñbe kā thaal
jo sūraj kī garmī meñ saarā saal tape
koī halkā niilā bādal jab us par būñdeñ barsā.e
ek chhanākā ho aur būñdeñ bādal ko uḌ jaa.eñ
tāñbā jaltā rahe
vo hai ik bijlī kā taar
jis ke andar tez aur ātishnāk ik barqī-rau dauḌe
jo bhī us ke paas se guzre
us kī jānib khīñchtā jaa.e
us ke saath chimaT ke maut ke jhūle jhūle
barqī-rau vaisī hī sur.at aur tezī se dauḌtī jaa.e
maiñ hoñ barg-e-shajar
sūraj chamke maiñ us kī kirnoñ ko apne ruup meñ dhārūñ
bādal barse maiñ us kī būñdeñ apnī rag rag meñ utārūñ
baad chale maiñ us kī lahroñ ko naġhmoñ meñ Dhālūñ
aur ḳhizāñ aa.e to us ke muñh meñ apnā ras Tapkā kar peḌ se utrūñ
dhartī meñ mudġham ho jā.ūñ
dhartī jab mujh ko ugle to paudā ban kar phūTūñ
tu hai ek tanbe ka thaal
jo suraj ki garmi mein sara sal tape
koi halka nila baadal jab us par bunden barsae
ek chhanaka ho aur bunden baadal ko uD jaen
tanba jalta rahe
wo hai ek bijli ka tar
jis ke andar tez aur aatishnak ek barqi-rau dauDe
jo bhi us ke pas se guzre
us ki jaanib khinchta jae
us ke sath chimaT ke maut ke jhule jhule
barqi-rau waisi hi surat aur tezi se dauDti jae
main hon barg-e-shajar
suraj chamke main us ki kirnon ko apne rup mein dhaarun
baadal barse main us ki bunden apni rag rag mein utarun
baad chale main us ki lahron ko naghmon mein Dhaalun
aur KHizan aae to us ke munh mein apna ras Tapka kar peD se utrun
dharti mein mudgham ho jaun
dharti jab mujh ko ugle to pauda ban kar phuTun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.