apna saya
jismoñ ke kho jaane
aur ruuoñ ke badalne ke karb ne mujhe tamām-umr
andesha-e-ziyā.a meñ hī mubtalā rakhā
kal ke din ne mujh meñ base sab ḳhauf maar diye
chehre se naqāb utrā to sachchā.ī siina taane mere sāmne aa khaḌī huī
ḳhud se bichhḌī huī thī ab ḳhud se aa milī huuñ
merā saaya mujh meñ nau phaTā ho kar jaag gayā hai aur
vo merā haath thāme baiThā hai
ab vahī mor-pañkh vahī jhiil vahī murġhābī ke bachche
aḳhroT khātī gilahrī aur rañg bikhertī titlī
merā saaya
yahī sab murda manāzir ko mere andar hanūt kar ke baiTh gayā hai
ab apne hī saa.e kī panāh meñ huuñ
jis ke na badalne kā Dar na bichhaḌne kā vahm
ek sā bas mujh meñ hī rahegā
merā hī rahegā
is liye
ab tanhā.ī se Dar nahīñ lagtā
ab judā.ī se Dar nahīñ lagtā
ab maiñ apnī panāh meñ huuñ
jismon ke kho jaane
aur ruon ke badalne ke karb ne mujhe tamam-umr
andesha-e-ziyaa mein hi mubtala rakha
kal ke din ne mujh mein base sab KHauf mar diye
chehre se naqab utra to sachchai sina tane mere samne aa khaDi hui
KHud se bichhDi hui thi ab KHud se aa mili hun
mera saya mujh mein nau phaTa ho kar jag gaya hai aur
wo mera hath thame baiTha hai
ab wahi mor-pankh wahi jhil wahi murghabi ke bachche
aKHroT khati gilahri aur rang bikherti titli
mera saya
yahi sab murda manazir ko mere andar hanut kar ke baiTh gaya hai
ab apne hi sae ki panah mein hun
jis ke na badalne ka Dar na bichhaDne ka wahm
ek sa bas mujh mein hi rahega
mera hi rahega
is liye
ab tanhai se Dar nahin lagta
ab judai se Dar nahin lagta
ab main apni panah mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.